aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

purane doston se ab murawwat chhoD di humne

Shahzad Ahmad

purane doston se ab murawwat chhoD di humne

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    purāne dostoñ se ab muravvat chhoḌ ham ne

    muazzaz ho ga.e ham bhī sharāfat chhoḌ ham ne

    mayassar aa chukī hai sar-bulandī muḌ ke kyuuñ dekheñ

    imāmat mil ga.ī ham ko to ummat chhoḌ ham ne

    kise ma.alūm kyā hogā ma.aal ā.inda nasloñ

    javāñ ho kar buzurgoñ rivāyat chhoḌ ham ne

    ye mulk apnā hai aur is mulk sarkār apnī hai

    milī hai naukrī jab se baġhāvat chhoḌ ham ne

    hai utnā vāqi.a us se na milne qasam khā

    ta.assuf is qadar goyā vazārat chhoḌ ham ne

    kareñ kyā ye balā apne liye ḳhud muntaḳhab hai

    gilā baaqī rahā lekin shikāyat chhoḌ ham ne

    sitāre is qadar dekhe ki āñkheñ bujh ga.iiñ apnī

    mohabbat is qadar kar mohabbat chhoḌ ham ne

    jo sochā hai azīzoñ samajh meñ aa nahīñ saktā

    sharārat ab ke ye hai sharārat chhoḌ ham ne

    ulajh paḌte agar to ham meñ tum meñ farq kyā rahtā

    yahī dīvār baaqī thī salāmat chhoḌ ham ne

    gunahgāroñ meñ shāmil mudda.ī bhī aur mulzim bhī

    tirā insāf dekhā aur adālat chhoḌ ham ne

    purane doston se ab murawwat chhoD di hum ne

    muazzaz ho gae hum bhi sharafat chhoD di hum ne

    mayassar aa chuki hai sar-bulandi muD ke kyun dekhen

    imamat mil gai hum ko to ummat chhoD di hum ne

    kise malum kya hoga maal aainda naslon ka

    jawan ho kar buzurgon ki riwayat chhoD di hum ne

    ye mulk apna hai aur is mulk ki sarkar apni hai

    mili hai naukri jab se baghawat chhoD di hum ne

    hai utna waqia us se na milne ki qasam kha li

    tassuf is qadar goya wazarat chhoD di hum ne

    karen kya ye bala apne liye KHud muntaKHab ki hai

    gila baqi raha lekin shikayat chhoD di hum ne

    sitare is qadar dekhe ki aankhen bujh gain apni

    mohabbat is qadar kar li mohabbat chhoD di hum ne

    jo socha hai azizon ki samajh mein aa nahin sakta

    shararat ab ke ye ki hai shararat chhoD di hum ne

    ulajh paDte agar to hum mein tum mein farq kya rahta

    yahi diwar baqi thi salamat chhoD di hum ne

    gunahgaron mein shamil muddai bhi aur mulzim bhi

    tera insaf dekha aur adalat chhoD di hum ne

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 722)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now