aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

puri mere junun ki zarurat na kar sake

Saba Akbarabadi

puri mere junun ki zarurat na kar sake

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    puurī mire junūñ zarūrat na kar sake

    sahrā-e-jāñ bhī ho to kifālat na kar sake

    sa.ī-o-amal ruuh mohabbat ke saath thī

    vo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake

    duniyā meñ jitne ġham mile dil meñ basā liye

    ham sirf tere ġham pe qanā.at na kar sake

    apnā hāl-e-zār sunāte rahe tujhe

    lekin tire sitam shikāyat na kar sake

    tārāj kar ke ishq bastī chale ga.e

    tum fat.h kar ke dil pe hukūmat na kar sake

    duniyā meñ ab bhī log vafā ke haiñ mudda.ī

    hāsil hamāre haal se ibrat na kar sake

    hai kāfir-e-adab mire mashrab meñ ai 'sabā'

    shā.ir jo ehtirām rivāyat na kar sake

    puri mere junun ki zarurat na kar sake

    sahra-e-jaan bhi ho to kifalat na kar sake

    sai-o-amal ki ruh mohabbat ke sath thi

    wo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake

    duniya mein jitne gham mile dil mein basa liye

    hum sirf tere gham pe qanaat na kar sake

    apna hi haal-e-zar sunate rahe tujhe

    lekin tere sitam ki shikayat na kar sake

    taraj kar ke ishq ki basti chale gae

    tum fath kar ke dil pe hukumat na kar sake

    duniya mein ab bhi log wafa ke hain muddai

    hasil hamare haal se ibrat na kar sake

    hai kafir-e-adab mere mashrab mein ai 'saba'

    shair jo ehtiram riwayat na kar sake

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 107)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now