Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qabr mein ab kisi ka dhyan nahin

Sakhi Lakhnvi

qabr mein ab kisi ka dhyan nahin

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    qabr meñ ab kisī dhyān nahīñ

    sach hai jab nahīñ jahān nahīñ

    band bulbul zabān nahīñ

    varna gul to hilāte kaan nahīñ

    dil ne ḳhud ulfat-e-kamar hai

    is meñ kuchh merā darmiyān nahīñ

    abhī kyā kyā na hogā harj nasīb

    ham nahīñ haiñ ki imtihān nahīñ

    dair kyuuñ zāhidoñ ne chhoḌ diyā

    kyā butoñ meñ ḳhudā shaan nahīñ

    shams kaisā chamak ke niklā hai

    aaj merā jo mehrbān nahīñ

    baat kyā hai 'saḳhī' jo vo ham se

    aise chup haiñ ki kuchh bayān nahīñ

    qabr mein ab kisi ka dhyan nahin

    sach hai jab ji nahin jahan nahin

    band bulbul hi ki zaban nahin

    warna gul to hilate kan nahin

    dil ne KHud ulfat-e-kamar ki hai

    is mein kuchh mera darmiyan nahin

    abhi kya kya na hoga harj nasib

    hum nahin hain ki imtihan nahin

    dair kyun zahidon ne chhoD diya

    kya buton mein KHuda ki shan nahin

    shams kaisa chamak ke nikla hai

    aaj mera jo mehrban nahin

    baat kya hai 'saKHi' jo wo hum se

    aise chup hain ki kuchh bayan nahin

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-53 page-43)

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now