Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai

Josh Malihabadi

qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    qadam insāñ rāh-e-dahr meñ tharrā jaatā hai

    chale kitnā koī bach ke Thokar khā jaatā hai

    nazar ho ḳhvāh kitnī haqā.iq-āshnā phir bhī

    hujūm-e-kashmakash meñ aadmī ghabrā jaatā hai

    ḳhilāf-e-maslahat maiñ bhī samajhtā huuñ magar nāseh

    vo aate haiñ to chehre par taġhayyur aa jaatā hai

    havā.eñ zor kitnā lagā.eñ āñdhiyāñ ban kar

    magar jo ghir ke aatā hai vo bādal chhā jaatā hai

    shikāyat kyuuñ ise kahte ho ye fitrat hai insāñ

    musībat meñ ḳhayāl-e-aish-e-rafta aa jaatā hai

    shagūfoñ par bhī aatī haiñ balā.eñ yuuñ to kahne ko

    magar jo phuul ban jaatā hai vo kumhlā jaatā hai

    samajhtī haiñ ma.āl-e-gul magar kyā zor-e-fitrat hai

    sahar hote kaliyoñ ko tabassum aa jaatā hai

    qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai

    chale kitna hi koi bach ke Thokar kha hi jata hai

    nazar ho KHwah kitni hi haqaiq-ashna phir bhi

    hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai

    KHilaf-e-maslahat main bhi samajhta hun magar naseh

    wo aate hain to chehre par taghayyur aa hi jata hai

    hawaen zor kitna hi lagaen aandhiyan ban kar

    magar jo ghir ke aata hai wo baadal chha hi jata hai

    shikayat kyun ise kahte ho ye fitrat hai insan ki

    musibat mein KHayal-e-aish-e-rafta aa hi jata hai

    shagufon par bhi aati hain balaen yun to kahne ko

    magar jo phul ban jata hai wo kumhla hi jata hai

    samajhti hain maal-e-gul magar kya zor-e-fitrat hai

    sahar hote hi kaliyon ko tabassum aa hi jata hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    qadam insan ka rah-e-dahr mein tharra hi jata hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now