aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai

Aftab Hussain

qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai

Aftab Hussain

MORE BYAftab Hussain

    qadam qadam pe kisī imtihāñ zad meñ hai

    zamīn ab bhī kahīñ āsmāñ zad meñ hai

    har ek gaam ulajhtā huuñ apne aap se maiñ

    vo tiir huuñ jo ḳhud apnī kamāñ zad meñ hai

    vo bahr huuñ jo ḳhud apne kināre chāTtā hai

    vo lahar huuñ ki jo sail-e-ravāñ zad meñ hai

    maiñ apnī zaat pe isrār kar rahā huuñ magar

    yaqīñ khel musalsal gumāñ zad meñ hai

    mire vajūd ke andar utartā jaatā hai

    hai koī zahr jo merī zabāñ zad meñ hai

    lagī huī hai nazar aane vaale manzar par

    magar ye dil ki abhī raftagāñ zad meñ hai

    yahī nahīñ ki faqat rizq-e-ḳhvāb band huā

    gadā-e-kū-e-hunar bhī sagāñ zad meñ hai

    ufuq ufuq jo mire nuur ġhubār uḌā

    ye kā.enāt mire ḳhāk-dāñ zad meñ hai

    qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai

    zamin ab bhi kahin aasman ki zad mein hai

    har ek gam ulajhta hun apne aap se main

    wo tir hun jo KHud apni kaman ki zad mein hai

    wo bahr hun jo KHud apne kinare chaTta hai

    wo lahar hun ki jo sail-e-rawan ki zad mein hai

    main apni zat pe israr kar raha hun magar

    yaqin ka khel musalsal guman ki zad mein hai

    mere wajud ke andar utarta jata hai

    hai koi zahr jo meri zaban ki zad mein hai

    lagi hui hai nazar aane wale manzar par

    magar ye dil ki abhi raftagan ki zad mein hai

    yahi nahin ki faqat rizq-e-KHwab band hua

    gada-e-ku-e-hunar bhi sagan ki zad mein hai

    ufuq ufuq jo mere nur ka ghubar uDa

    ye kaenat mere KHak-dan ki zad mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now