Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qafas ko toD ke main baal-o-par bhi dekhunga

Jawed Manzar

qafas ko toD ke main baal-o-par bhi dekhunga

Jawed Manzar

MORE BYJawed Manzar

    qafas ko toḌ ke maiñ bāl-o-par bhī dekhūñgā

    jo bāl-o-par hoñ salāmat to ghar bhī dekhūñgā

    phir is ke baad na kahnā sadā-ba-sahrā thī

    maiñ apnī baat tujh par asar bhī dekhūñgā

    yahāñ to sab purānī ravish pe chalte haiñ

    maiñ ab banā ke na.ī rah-guzar bhī dekhūñgā

    milūñgā tum se to māñgūñgā roz-o-shab hisāb

    rahūñgā ghar meñ to phir bām-o-dar bhī dekhūñgā

    maiñ ḳhush bahut thā bahāroñ ke darmiyāñ manzar

    ḳhabar na thī ki ḳhizāñ guzar bhī dekhūñgā

    qafas ko toD ke main baal-o-par bhi dekhunga

    jo baal-o-par hon salamat to ghar bhi dekhunga

    phir is ke baad na kahna sada-ba-sahra thi

    main apni baat ka tujh par asar bhi dekhunga

    yahan to sab hi purani rawish pe chalte hain

    main ab bana ke nai rah-guzar bhi dekhunga

    milunga tum se to mangunga roz-o-shab ka hisab

    rahunga ghar mein to phir baam-o-dar bhi dekhunga

    main KHush bahut tha bahaaron ke darmiyan manzar

    KHabar na thi ki KHizan ka guzar bhi dekhunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now