aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain

Shaikh Ibrahim Zauq

qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    qasd jab terī ziyārat kabhū karte haiñ

    chashm-e-pur-āb se ā.īne vazū karte haiñ

    karte iz.hār haiñ dar-parda adāvat apnī

    vo mire aage jo tārīf-e-adū karte haiñ

    dil ye haal hai phaT jaa.e hai sau jaa.e se aur

    agar ik jaa.e se ham us ko rafū karte haiñ

    toḌeñ ik naale se is kāsa-e-gardūñ ko magar

    nosh ham is meñ kabhū dil lahū karte haiñ

    qad-e-dil-jū ko tumhāre nahīñ dekhā shāyad

    sarkashī itnī jo sarv-e-lab-e-jū karte haiñ

    qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain

    chashm-e-pur-ab se aaine wazu karte hain

    karte izhaar hain dar-parda adawat apni

    wo mere aage jo tarif-e-adu karte hain

    dil ka ye haal hai phaT jae hai sau jae se aur

    agar ek jae se hum us ko rafu karte hain

    toDen ek nale se is kasa-e-gardun ko magar

    nosh hum is mein kabhu dil ka lahu karte hain

    qad-e-dil-ju ko tumhaare nahin dekha shayad

    sarkashi itni jo sarw-e-lab-e-ju karte hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now