Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qatl pe tere mujhe kad chahiye

Qayem Chaandpuri

qatl pe tere mujhe kad chahiye

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    qatl pe tere mujhe kad chāhiye

    ḳhuub hai ye apne bad chāhiye

    zulf ke kūchoñ darāzī na pūchh

    chalne ko vaañ umr-e-abad chāhiye

    dil maiñ kartā nahīñ jhūTī salāh

    maal hai sarkār jad chāhiye

    fauj hai ashk hālat tabāh

    aah se is vaqt madad chāhiye

    shaiḳh izzat hai min-al-vāhiyāt

    kafash na hove to lakad chāhiye

    pashm hai yaañ masnad-e-qāqum farsh

    ghar meñ faqīroñ ke namad chāhiye

    pasrav-e-ahmad ho ki marnā hai kal

    raah na diida ko balad chāhiye

    ham se ye kyā nā-ḳhush o 'qā.em' se ḳhush

    jo ho miyāñ hissa rasad chāhiye

    qatl pe tere mujhe kad chahiye

    KHub hai ye apne ka bad chahiye

    zulf ke kuchon ki daraazi na puchh

    chalne ko wan umr-e-abad chahiye

    dil ki main karta nahin jhuTi salah

    mal hai sarkar ka jad chahiye

    fauj ki hai ashk ki haalat tabah

    aah se is waqt madad chahiye

    shaiKH ki izzat hai min-al-wahiyat

    kafash na howe to lakad chahiye

    pashm hai yan masnad-e-qaqum ka farsh

    ghar mein faqiron ke namad chahiye

    pasraw-e-ahmad ho ki marna hai kal

    rah na dida ko balad chahiye

    hum se ye kya na-KHush o 'qaem' se KHush

    jo ho miyan hissa rasad chahiye

    Source:

    Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website) (Pg. 143)

      • Edition: 1963
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now