qatra-qatra meri aankhon mein lahu utra hai
qatra-qatra mirī āñkhoñ meñ lahū utrā hai
ye tirā dard hai siine meñ ki tū utrā hai
zindagī mauj-e-havādis meñ basar hotī rahī
ek dariyā kabhū ubhrā hai kabhū utrā hai
sar paTaktī rahīñ maujeñ pa tasallī na huī
ab samundar meñ koī tishna gulū utrā hai
phir tasavvur meñ vahī mausam-e-gul kā manzar
phir tabī'at meñ vahī raqs-e-numū utrā hai
qatra-qatra meri aankhon mein lahu utra hai
ye tera dard hai sine mein ki tu utra hai
zindagi mauj-e-hawadis mein basar hoti rahi
ek dariya kabhu ubhra hai kabhu utra hai
sar paTakti rahin maujen pa tasalli na hui
ab samundar mein koi tishna gulu utra hai
phir tasawwur mein wahi mausam-e-gul ka manzar
phir tabi'at mein wahi raqs-e-numu utra hai
- Book : Ishq (Pg. 114)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.