aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaul us darogh-go ka koi bhi sach hua hai

Shad Lakhnavi

qaul us darogh-go ka koi bhi sach hua hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    qaul us daroġh-go koī bhī sach huā hai

    vaa.iz jahān-bhar jhūTā labā.riyā hai

    kā'be meñ jis hasīñ lagtā nahīñ patā hai

    mil jaa.e but-kade meñ jo vo sanam ḳhudā hai

    puujā na kar butoñ ko apnī kar parastish

    ai but-parast putlā bhī to ḳhaak hai

    rag rag meñ ye bañdhī hai gard-e-malāl-e-ḳhātir

    vo said huuñ ki jis sab gosht kirkirā hai

    'umr-e-ravāñ hai misl-e-mauj-e-ravāñ gurezāñ

    bahr-e-jahāñ meñ insāñ paanī bulbulā hai

    karne ko sar phuTavval jis koh ke darre meñ

    jab maiñ pukārtā huuñ farhād boltā hai

    vo but na raam hogā be-rab kisī ke chāhe

    ai barhaman ḳhudā kyā koī dūsrā hai

    dandāñ ke 'āshiqoñ ke aañsū haiñ dur nahīñ haiñ

    niklī jo sītlā hai vo bhī to motiyā hai

    gum-zār 'shād' gaahe imroz ba-fardā

    mā'lūm ye kise hai kal kyā hai aaj kyā hai

    qaul us darogh-go ka koi bhi sach hua hai

    waiz jahan-bhar ka jhuTa labariya hai

    ka'be mein jis hasin ka lagta nahin pata hai

    mil jae but-kade mein jo wo sanam KHuda hai

    puja na kar buton ko apni hi kar parastish

    ai but-parast putla tu bhi to KHak ka hai

    rag rag mein ye bandhi hai gard-e-malal-e-KHatir

    wo said hun ki jis ka sab gosht kirkira hai

    'umr-e-rawan hai misl-e-mauj-e-rawan gurezan

    bahr-e-jahan mein insan pani ka bulbula hai

    karne ko sar phuTawwal jis koh ke darre mein

    jab main pukarta hun farhad bolta hai

    wo but na ram hoga be-rab kisi ke chahe

    ai barhaman KHuda ka kya koi dusra hai

    dandan ke 'ashiqon ke aansu hain dur nahin hain

    nikli jo sitla hai wo bhi to motiya hai

    gum-zar 'shad' gahe imroz ra ba-farda

    ma'lum ye kise hai kal kya hai aaj kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now