Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaza ke sath chale zindagi ke badle mein

Ali Abbas Ummeed

qaza ke sath chale zindagi ke badle mein

Ali Abbas Ummeed

MORE BYAli Abbas Ummeed

    qazā ke saath chale zindagī ke badle meñ

    milī na chhāñv bhī ahal-e-amal ko raste meñ

    javāb-e-shahr-e-ḳhamoshāñ har ek bastī hai

    gulāb khilte nahīñ ab kisī darīche meñ

    ġham-e-hayāt paiġhambarāna ulfat ko

    na jaane kab se basā.e hue haiñ siine meñ

    pahuñch chuke haiñ yaqīñ hudūd meñ phir bhī

    laraz rahe haiñ qadam saath saath chalne meñ

    shu.ūr-e-zīst alhaḌ kiran nazar aa.ī

    hayāt-e-nau ke simaTte hue dhundalke meñ

    tumhāre qurb vo sā.at-e-hasīñ ab bhī

    ravāñ hai saath mire yaad ke safīne meñ

    har ek saañs sū-e-kahkashāñ baḌhī lekin

    qadam bhaTakte rahe umr bhar añdhere meñ

    nikal ke mahbas-e-shab-rañg se junūñ vaale

    asiir hote rahe asr-e-nau ke dhoke meñ

    kare jo azm-e-safar us ko ye ḳhabar kar do

    ki ik paḌāv haiñ ham is tavīl mele meñ

    bahā jo sub.h-e-bahārāñ justujū meñ 'umīd'

    usī lahū hai partav har ik shagūfe meñ

    qaza ke sath chale zindagi ke badle mein

    mili na chhanw bhi ahal-e-amal ko raste mein

    jawab-e-shahr-e-KHamoshan har ek basti hai

    gulab khilte nahin ab kisi dariche mein

    gham-e-hayat ki paighambarana ulfat ko

    na jaane kab se basae hue hain sine mein

    pahunch chuke hain yaqin ki hudud mein phir bhi

    laraz rahe hain qadam sath sath chalne mein

    shuur-e-zist ki alhaD kiran nazar aai

    hayat-e-nau ke simaTte hue dhundalke mein

    tumhaare qurb ki wo saat-e-hasin ab bhi

    rawan hai sath mere yaad ke safine mein

    har ek sans su-e-kahkashan baDhi lekin

    qadam bhaTakte rahe umr bhar andhere mein

    nikal ke mahbas-e-shab-rang se junun wale

    asir hote rahe asr-e-nau ke dhoke mein

    kare jo azm-e-safar us ko ye KHabar kar do

    ki ek paDaw hain hum is tawil mele mein

    baha jo subh-e-bahaaran ki justuju mein 'umid'

    usi lahu ka hai partaw har ek shagufe mein

    Source:

    Lab-e-Goya (Pg. 128)

    • Author: Ali Abbas Ummeed
      • Publisher: Kul Hind Halqa-e-Adab, Ghazipur
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now