Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

quwwat-e-jaur jae chhin tujhse jo tu jafa kare

Mannan Bijnori

quwwat-e-jaur jae chhin tujhse jo tu jafa kare

Mannan Bijnori

MORE BYMannan Bijnori

    quvvat-e-jaur jaa.e chhin tujh se jo jafā kare

    bhī ho be-bas ek din aisā bhī ho ḳhudā kare

    chheḌe koī jo ġham baat terā bhī jaa.e dil pe haath

    siine meñ dhaḌkanoñ ke saath tiir kuchh chubhā kare

    tere bhī hoñT jaa.eñ sil bhī kabhī ho munfa.il

    ruḳh pe baras ke abr-e-dil qissa-e-dil kahā kare

    ātish-e-shauq ho na kam baḌhtī jaa.e dam-ba-dam

    lazzat-e-dilbarī se ġham tujh ko bhī āshnā kare

    ūl-julūl bak gayā tujh ko tirā ye dil-jalā

    rab se magar hai ye duā kuchh na tirā burā kare

    vaqt aa.e din raaḌ ziist dam-ba-dam latāḌ

    us pe ġhamoñ chheḌ-chhāḌ koī na kyuuñ chiḌā kare

    vasl bar na aa.e aas kar ke hazār iltimās

    hijr meñ ho jo mahv-e-yās vo ye ġhazal paḌhā kare

    quwwat-e-jaur jae chhin tujh se jo tu jafa kare

    tu bhi ho be-bas ek din aisa bhi ho KHuda kare

    chheDe koi jo gham ki baat tera bhi jae dil pe hath

    sine mein dhaDkanon ke sath tir sa kuchh chubha kare

    tere bhi honT jaen sil tu bhi kabhi ho munfail

    ruKH pe baras ke abr-e-dil qissa-e-dil kaha kare

    aatish-e-shauq ho na kam baDhti hi jae dam-ba-dam

    lazzat-e-dilbari se gham tujh ko bhi aashna kare

    ul-julul bak gaya tujh ko tera ye dil-jala

    rab se magar hai ye dua kuchh na tera bura kare

    waqt ki aae din ki raD zist ki dam-ba-dam lataD

    us pe ghamon ki chheD-chhaD koi na kyun chiDa kare

    wasl ki bar na aae aas kar ke hazar iltimas

    hijr mein ho jo mahw-e-yas wo ye ghazal paDha kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now