Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raste lakh sahi koi bhi rahbar na lage

Sabahat Urooj

raste lakh sahi koi bhi rahbar na lage

Sabahat Urooj

MORE BYSabahat Urooj

    rāste laakh sahī koī bhī rahbar na lage

    ye bhī mumkin hai ki dar ho magar dar na lage

    ajnabī log haiñ us paar bastī meñ magar

    mujh ko is paar bhī apnā to koī ghar na lage

    aise bichhḌā ki zamāne se vo lauTā nahīñ

    hai duā aise parinde ko kabhī par na lage

    ab ki DhūñDūñgī Thikāna maiñ koī dasht ke paas

    yuuñ sar-e-ām tamāshe jahāñ Dar na lage

    aks hai aks are us taqāzā bhī samajh

    aañkh shīshe muqaddar hai to patthar na lage

    raste lakh sahi koi bhi rahbar na lage

    ye bhi mumkin hai ki dar wa ho magar dar na lage

    ajnabi log hain us par ki basti mein magar

    mujh ko is par bhi apna to koi ghar na lage

    aise bichhDa ki zamane se wo lauTa hi nahin

    hai dua aise parinde ko kabhi par na lage

    ab ki DhunDungi Thikana main koi dasht ke pas

    yun sar-e-am tamashe ka jahan Dar na lage

    aks hai aks are us ka taqaza bhi samajh

    aankh shishe ka muqaddar hai to patthar na lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now