Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ajab aaseb-zada sa mausam tha

Zehra Nigaah

raat ajab aaseb-zada sa mausam tha

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    raat ajab āseb-zada mausam thā

    apnā honā aur na honā mub.ham thā

    ek gul-e-tanhā.ī thā jo hamdam thā

    ḳhaar o ġhubār sarmāya bhī kam kam thā

    aañkh se kaT kaT jaate the saare manzar

    raat se rañg-e-dīda-e-hairāñ barham thā

    jis aalam ko aalam kahte haiñ

    vo aalam thā aur vo aalam paiham thā

    ḳhaar ḳhamīda-sar the bagūle be-āvāz

    sahrā meñ bhī aaj kasī mātam thā

    raushniyāñ atrāf meñ 'zehrā' raushan thiiñ

    ā.īne meñ aks terā maddham thā

    raat ajab aaseb-zada sa mausam tha

    apna hona aur na hona mubham tha

    ek gul-e-tanhai tha jo hamdam tha

    KHar o ghubar ka sarmaya bhi kam kam tha

    aankh se kaT kaT jate the sare manzar

    raat se rang-e-dida-e-hairan barham tha

    jis aalam ko hu ka aalam kahte hain

    wo aalam tha aur wo aalam paiham tha

    KHar KHamida-sar the bagule be-awaz

    sahra mein bhi aaj kasi ka matam tha

    raushniyan atraf mein 'zehra' raushan thin

    aaine mein aks hi tera maddham tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now