aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen

Shoaib Nizam

raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen

Shoaib Nizam

MORE BYShoaib Nizam

    raat tārīk-tar patthar jigar paanī kareñ

    ham bhalā kis ke liye ye kār-e-lā-sānī kareñ

    din to din rātoñ ko bhī ye apnī man-mānī kareñ

    mamlikat par dil yādeñ jaise sultānī kareñ

    bas ga.e haiñ aañkh meñ manzar pas-e-manzar sarāb

    ham kahāñ tak apne ḳhvāboñ nigahbānī kareñ

    ik tilismī rañg meñ kho jaa.eñ jab chehre tamām

    farz hai āñkhoñ pe kyā iz.hār-e-hairānī kareñ

    ab to saare faisle haiñ sañg-dil rātoñ ke haath

    ye agar chāheñ to phir ḳhvāboñ arzānī kareñ

    jab udaas āñkheñ diloñ se guftugū karne lageñ

    phir to lab bekār zikr-e-pashemānī kareñ

    raat ka tarik-tar patthar jigar pani karen

    hum bhala kis ke liye ye kar-e-la-sani karen

    din to din raaton ko bhi ye apni man-mani karen

    mamlikat par dil ki yaaden jaise sultani karen

    bas gae hain aankh mein manzar pas-e-manzar sarab

    hum kahan tak apne KHwabon ki nigahbani karen

    ek tilismi rang mein kho jaen jab chehre tamam

    farz hai aankhon pe kya izhaar-e-hairani karen

    ab to sare faisle hain sang-dil raaton ke hath

    ye agar chahen to phir KHwabon ki arzani karen

    jab udas aankhen dilon se guftugu karne lagen

    phir to lab bekar hi zikr-e-pashemani karen

    Source:

    Aks e Gumgushta (Pg. 3)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now