Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai

Muzaffar Mumtaz

raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai

Muzaffar Mumtaz

MORE BYMuzaffar Mumtaz

    raat ke parde meñ ik nuur sailāb bhī hai

    dasht-e-zulmat meñ kahīñ vādī-e-mahtāb bhī hai

    bahr-e-pursish sahī aaj tirā aa jaanā

    ek vaqt meñ ta.abīr bhī hai ḳhvāb bhī hai

    asliyat dekh mire chāk-e-garebāñ pe na

    ishq chāhe to bahut sāhab-e-asbāb bhī hai

    ne sochā hai kabhī jalva-e-arzāñ ke asiir

    jis ko mahtāb samajhtā hai vo mahtāb bhī hai

    vaqt tez ravānī se hai dahshat varna

    yahī dariyā jo Thahar jaa.e to pāyāb bhī hai

    raat ke parde mein ek nur ka sailab bhi hai

    dasht-e-zulmat mein kahin wadi-e-mahtab bhi hai

    bahr-e-pursish hi sahi aaj tera aa jaana

    ek hi waqt mein tabir bhi hai KHwab bhi hai

    asliyat dekh mere chaak-e-gareban pe na ja

    ishq chahe to bahut sahab-e-asbab bhi hai

    tu ne socha hai kabhi jalwa-e-arzan ke asir

    jis ko mahtab samajhta hai wo mahtab bhi hai

    waqt ki tez rawani se hai dahshat warna

    yahi dariya jo Thahar jae to payab bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now