Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye

Khaleel Rampuri

raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye

Khaleel Rampuri

MORE BYKhaleel Rampuri

    raat khaḌī hai sar pe sunahre diyoñ thaal liye

    ai man bhī umr batā de naqsh-e-ḳhayāl liye

    lamhe ye be-rañg patañge kab aate haiñ haath

    saarā saarā din phirtā hai sūraj jaal liye

    phul-jhaḌiyāñ chhūT rahī haiñ shaam ke dāman meñ

    kaun khaḌā hai nārañgī chehra laal liye

    aaj samajh meñ aayā apnī āñkhoñ mafhūm

    har insān hai sūrat par do zaḳhm-e-malāl liye

    ujlī chāñdnī raat āñkheñ ujlā dhuup mukh

    haa.e re vo hirnī laḌkī shauq-e-visāl liye

    ghar vāloñ se toḌ ke naatā kis ne paayā mujh ko

    kahāñ phiroge shā.ir sāhab dast-e-savāl liye

    gulzāroñ meñ basne vaale bhakkar des bhī dekh

    thal registān bhī hai gudḌī meñ la.al liye

    aaj talak us aurat se aatā hai ḳhauf 'ḳhalīl'

    ghar meñ ik din ghus aa.ī thī bikhre baal liye

    raat khaDi hai sar pe sunahre diyon ka thaal liye

    ai man tu bhi umr bata de naqsh-e-KHayal liye

    lamhe ye be-rang patange kab aate hain hath

    sara sara din phirta hai suraj jal liye

    phul-jhaDiyan si chhuT rahi hain sham ke daman mein

    kaun khaDa hai narangi sa chehra lal liye

    aaj samajh mein aaya apni aankhon ka mafhum

    har insan hai surat par do zaKHm-e-malal liye

    ujli chandni raat si aankhen ujla dhup sa mukh

    hae re wo hirni si laDki shauq-e-visal liye

    ghar walon se toD ke nata kis ne paya mujh ko

    kahan phiroge shair sahab dast-e-sawal liye

    gulzaron mein basne wale bhakkar des bhi dekh

    thal ka registan bhi hai gudDi mein lal liye

    aaj talak us aurat se aata hai KHauf 'KHalil'

    ghar mein ek din ghus aai thi bikhre baal liye

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 800)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now