aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat parde se zara munh jo kisu ka nikla

Mushafi Ghulam Hamdani

raat parde se zara munh jo kisu ka nikla

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    raat parde se zarā muñh jo kisū niklā

    sho.ala samjhā thā use maiñ pa bhabhūkā niklā

    mahr o mah us phaban dekh ke hairān rahe

    jab varaq yaar tasvīr-e-do-rū niklā

    ye adā dekh ke kitnoñ huā kaam tamām

    nīmcha kal jo Tuk us arbada-jū niklā

    mar ga.ī sarv pe jab ho ke tasadduq qumrī

    us se us dam bhī na tauq apne gulū niklā

    'mus.hafī' ham to ye samjhe the ki hogā koī zaḳhm

    tere dil meñ to bahut kaam rafū niklā

    raat parde se zara munh jo kisu ka nikla

    shoala samjha tha use main pa bhabhuka nikla

    mahr o mah us ki phaban dekh ke hairan rahe

    jab waraq yar ki taswir-e-do-ru ka nikla

    ye ada dekh ke kitnon ka hua kaam tamam

    nimcha kal jo Tuk us arbada-ju ka nikla

    mar gai sarw pe jab ho ke tasadduq qumri

    us se us dam bhi na tauq apne gulu ka nikla

    'mushafi' hum to ye samjhe the ki hoga koi zaKHm

    tere dil mein to bahut kaam rafu ka nikla

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now