Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya

Khwaja Shauq

rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya

Khwaja Shauq

MORE BYKhwaja Shauq

    Interesting Fact

    (Annual Tarahi Mushaira, Bazm-e-Zamin Kantoorii, 1947)

    rah-e-ulfat meñ jab tark-e-tavassut maqām aayā

    na duniyā mere kaam aa.ī na maiñ duniyā ke kaam aayā

    asīrī fazā kis darja hasrat-ḳhez hotī hai

    nasheman tasavvur bhī jo aayā nā-tamām aayā

    hamārī zaat se hai kitnī dilchaspī zamāne ko

    hamesha zer-e-ġhaur aayā to bas apnā naam aayā

    vafā raah meñ āsāniyoñ zikr kyā hai

    yahāñ jo bhī maqām aayā baḌā mushkil maqām aayā

    nasha kaisā nahīñ ehsās tak kuchh talḳhī-e-mai

    kaheñ kis se ki kyā guzrī jahāñ gardish meñ jaam aayā

    visāl-e-dost manzil nahīñ ma.alūm kab aa.e

    maqām-e-hosh se guzre to hairat maqām aayā

    zamāne par ayaañ hone ko thā rāz-e-alam merā

    tirā anjān ho jaanā bhī kis mauqe pe kaam aayā

    na jaane vaqt tabdīliyāñ kyā kyā dikhātī haiñ

    chaman vāloñ ke hāthoñ ab chaman intizām aayā

    vufūr-e-shauq meñ insān ḳhud ko bhuul jaatā hai

    tum aa.e sāmne to jab samajh meñ ye maqām aayā

    usūl-e-mai-kadā aise banā rakkhe haiñ saaqī ne

    jo niklā be-ḳhabar niklā jo aayā tishna-kām aayā

    shikāyat bhī gunjā.ish kahāñ hai 'shauq' phūloñ ko

    ḳhizān-e-zindagī ban kar bahāroñ payām aayā

    rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya

    na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya

    asiri ki faza kis darja hasrat-KHez hoti hai

    nasheman ka tasawwur bhi jo aaya na-tamam aaya

    hamari zat se hai kitni dilchaspi zamane ko

    hamesha zer-e-ghaur aaya to bas apna hi nam aaya

    wafa ki rah mein aasaniyon ka zikr hi kya hai

    yahan jo bhi maqam aaya baDa mushkil maqam aaya

    nasha kaisa nahin ehsas tak kuchh talKHi-e-mai ka

    kahen kis se ki kya guzri jahan gardish mein jam aaya

    visal-e-dost ki manzil nahin malum kab aae

    maqam-e-hosh se guzre to hairat ka maqam aaya

    zamane par ayan hone ko tha raaz-e-alam mera

    tera anjaan ho jaana bhi kis mauqe pe kaam aaya

    na jaane waqt ki tabdiliyan kya kya dikhati hain

    chaman walon ke hathon ab chaman ka intizam aaya

    wufur-e-shauq mein insan KHud ko bhul jata hai

    tum aae samne to jab samajh mein ye maqam aaya

    usul-e-mai-kada aise bana rakkhe hain saqi ne

    jo nikla be-KHabar nikla jo aaya tishna-kaam aaya

    shikayat ki bhi gunjaish kahan hai 'shauq' phulon ko

    KHizan-e-zindagi ban kar bahaaron ka payam aaya

    Source:

    Chashm-e-Nigran (Pg. 80)

    • Author: Khwaja Shauq
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now