Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein

Agha Hajju Sharaf

raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    rahā karte haiñ yuuñ 'ushshāq terī yaad o hasrat meñ

    base rahte haiñ jaise phuul apnī apnī nik.hat meñ

    khichā husn-e-vafā ho kar jo ye tasvīr-e-vahdat meñ

    ḳhudā nuur shāmil ho gayā insāñ sūrat meñ

    nahīñ hai lazzat-e-duniyā o mā-fīhā jo qismat meñ

    ḳhudā-ma.alūm hissa hai mirā kis ḳhvān-e-ne.amat meñ

    safā.ī-ruḳh baḌhī aisī huā ā.īna hairat meñ

    javānī meñ nazar aane lagā muñh us sūrat meñ

    phalūñ phūlūñgā maiñ duniyā se kar bāġh-e-jannat meñ

    azal se parvarish hotā huuñ maiñ gulzār-e-rahmat meñ

    mahall-e-ishq meñ jo ḳhuun mushtāqoñ bahtā hai

    huā kartī haiñ rañg-āmeziyāñ us 'imārat meñ

    karo aisī adā.eñ ham se ham tasvīr ho jaa.eñ

    raheñ ham aur tum ik jaañ do qālib ho ke ḳhalvat meñ

    milī hai merī qismat se mujhe ne'mat tavakkul

    jo marġhūb-e-ḳhudā haiñ vo maze haiñ us lazzat meñ

    ḳhudā.ī vajd kartī hai jahāñ maiñ chachahātā huuñ

    hazāroñ meñ huuñ ik bulbul tire gulzār-e-qudrat meñ

    namāz-e-panjgāna meñ bhī har zikr usī hai

    tashahhud meñ azaañ meñ sajde meñ niyyat meñ rak'at meñ

    machal jaane pe us nā-fahm ke rahm us ko aayā hai

    liyā hai mere tifl-e-ashk ko dāmān-e-rahmat meñ

    dil-āzārī ham-sūrat se apne mashvara leñge

    ilāhī ḳhair ā.īna talab hotā hai ḳhalvat meñ

    mare par bhī 'sharaf' donoñ āñkheñ DabDabātī haiñ

    ḳhudā jaane ki dam niklā hai un kis hasrat meñ

    raha karte hain yun 'ushshaq teri yaad o hasrat mein

    base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein

    khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein

    KHuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein

    nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein

    KHuda-malum hissa hai mera kis KHwan-e-neamat mein

    safai-ruKH baDhi aisi hua aaina hairat mein

    jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein

    phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein

    azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein

    mahall-e-ishq mein jo KHun mushtaqon ka bahta hai

    hua karti hain rang-ameziyan us ki 'imarat mein

    karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen

    rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke KHalwat mein

    mili hai meri qismat se mujhe ne'mat tawakkul ki

    jo marghub-e-KHuda hain wo maze hain us ki lazzat mein

    KHudai wajd karti hai jahan main chachahata hun

    hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein

    namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai

    tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rak'at mein

    machal jaane pe us na-fahm ke rahm us ko aaya hai

    liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein

    dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge

    ilahi KHair aaina talab hota hai KHalwat mein

    mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen DabDabaati hain

    KHuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 157)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now