rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi

Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi

MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi

  rahī dil dil meñ zabāñ tak na pahuñchī

  mohabbat duniyā bayāñ tak na pahuñchī

  baserā rahā us sehn-e-chaman meñ

  magar ye bahār āshiyāñ tak na pahuñchī

  unheñ ḳhvāb meñ bhī na dhyān aayā mirā

  ye rūh-e-haqīqat gumāñ tak na pahuñchī

  shab-e-ġham mirā dil thā suulī pe lekin

  tamannā sarishk-e-ravāñ tak na pahuñchī

  bahāroñ to zikr kyā karūñ maiñ

  gulistān-e-dil meñ ḳhizāñ tak na pahuñchī

  tasavvur se aage taḳhayyul se aage

  mire dil vahshat kahāñ tak na pahuñchī

  rahī mahv tauf-e-chaman 'barq' aksar

  magar vo mire āshiyāñ tak na pahuñchī

  rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi

  mohabbat ki duniya bayan tak na pahunchi

  basera raha us ka sehn-e-chaman mein

  magar ye bahaar aashiyan tak na pahunchi

  unhen KHwab mein bhi na dhyan aaya mera

  ye ruh-e-haqiqat guman tak na pahunchi

  shab-e-gham mera dil tha suli pe lekin

  tamanna sarishk-e-rawan tak na pahunchi

  bahaaron ka to zikr hi kya karun main

  gulistan-e-dil mein KHizan tak na pahunchi

  tasawwur se aage taKHayyul se aage

  mere dil ki wahshat kahan tak na pahunchi

  rahi mahw tauf-e-chaman 'barq' aksar

  magar wo mere aashiyan tak na pahunchi

  Source :
  • Book : Barq-o-Sharar (Pg. 106)
  • Author : Dr. Barq Poonchvi
  • Publication : Swaraj Publication (2005)
  • Edition : 2005
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now