Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahin-e-KHwab-e-gum-gashta hamare samne mat aa

Hamida Shaheen

rahin-e-KHwab-e-gum-gashta hamare samne mat aa

Hamida Shaheen

MORE BYHamida Shaheen

    rahīn-e-ḳhvāb-e-gum-gashta hamāre sāmne mat aa

    jahāñ bhar meñ ho vārafta hamāre sāmne mat aa

    dhamāke se uḌāte jā.eñge ab raah har shai

    banāne de hameñ rasta hamāre sāmne mat aa

    tasādum ke alāva an-ginat zimnī masā.il haiñ

    tirī hastī se vābasta hamāre sāmne mat aa

    navāh-e-chashm mausam badalnā hai ta.āvun kar

    yahī bas ek do hafta hamāre sāmne mat aa

    munāfiq phuul bhī laa.e to kāñTe saath aate haiñ

    uThā apnā ye guldasta hamāre sāmne mat aa

    ḳhudārā cameroñ aur ā.inoñ se ma.azarat kar

    hamāre aks-e-rū-ḳhasta hamāre sāmne mat aa

    hamāre sāmne phaile savāloñ se bhare naqshe

    tujhe kar deñge ḳhud-rafta hamāre sāmne mat aa

    agar sāmne aayā to khul jā.eñge pushtāre

    hameñ rahne de lab-basta hamāre sāmne mat aa

    ġharaz-dārī ḳhār-āvar mohabbat-ḳhor beleñ haiñ

    tire paikar se paivasta hamāre sāmne mat aa

    hameñ pahle qadam se ilm hai ye dhuul kis hai

    aqab meñ hai tirā dasta hamāre sāmne mat aa

    kabhī vo sāmne aa.e to ham haT bhī nahīñ sakte

    kahe jaate haiñ bar-jasta hamāre sāmne mat aa

    rahin-e-KHwab-e-gum-gashta hamare samne mat aa

    jahan bhar mein ho warafta hamare samne mat aa

    dhamake se uDate jaenge ab rah ki har shai

    banane de hamein rasta hamare samne mat aa

    tasadum ke alawa an-ginat zimni masail hain

    teri hasti se wabasta hamare samne mat aa

    nawah-e-chashm ka mausam badalna hai taawun kar

    yahi bas ek do hafta hamare samne mat aa

    munafiq phul bhi lae to kanTe sath aate hain

    uTha apna ye guldasta hamare samne mat aa

    KHudara cameron aur aainon se mazarat kar li

    hamare aks-e-ru-KHasta hamare samne mat aa

    hamare samne phaile sawalon se bhare naqshe

    tujhe kar denge KHud-rafta hamare samne mat aa

    agar tu samne aaya to khul jaenge pushtare

    hamein rahne de lab-basta hamare samne mat aa

    gharaz-dari ki KHar-awar mohabbat-KHor belen hain

    tere paikar se paiwasta hamare samne mat aa

    hamein pahle qadam se ilm hai ye dhul kis ki hai

    aqab mein hai tera dasta hamare samne mat aa

    kabhi wo samne aae to hum haT bhi nahin sakte

    kahe jate hain bar-jasta hamare samne mat aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now