Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang apna na jama un pe asar kuchh na hua

Shah Akbar Danapuri

rang apna na jama un pe asar kuchh na hua

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    rang apnā na jamā un pe asar kuchh na huā

    ḳhuun rone se bhī ai dīda-e-tar kuchh na huā

    roz Tal jaatā hai dīdār va.ada kal par

    ab tak is asar ai ahl-e-ḳhabar kuchh na huā

    na samajhtā thā ki mar jā.ūñgā maiñ hijr shab

    haif zinda rahā tā-ba-sahar kuchh na huā

    sulh-e-kul vaale insān kahe jaate haiñ

    shar kiyā jis ne kisī se vo bashar kuchh na huā

    vaar us teġh-e-adā kabhī ḳhālī na gayā

    muñh pe ham ne ka.ī baar sipar kuchh na huā

    vasl ḳhātma sad-shukr huā sulh ke saath

    chain se raat basar ho ga.ī shar kuchh na huā

    vahī motī hai jo ho sarf tire zevar meñ

    jo na in kānoñ tak aaya vo guhar kuchh na huā

    aañkh band yahāñ aur vahāñ pahuñche

    manzil-e-mulk-e-adam to safar kuchh na huā

    kyā kaheñ zor na qismat se chalā ai 'akbar'

    koshisheñ vasl lākhoñ huiiñ par kuchh na huā

    rang apna na jama un pe asar kuchh na hua

    KHun rone se bhi ai dida-e-tar kuchh na hua

    roz Tal jata hai didar ka wada kal par

    ab tak is ka asar ai ahl-e-KHabar kuchh na hua

    na samajhta tha ki mar jaunga main hijr ki shab

    haif zinda hi raha ta-ba-sahar kuchh na hua

    sulh-e-kul wale hi insan kahe jate hain

    shar kiya jis ne kisi se wo bashar kuchh na hua

    war us tegh-e-ada ka kabhi KHali na gaya

    munh pe li hum ne kai bar sipar kuchh na hua

    wasl ka KHatma sad-shukr hua sulh ke sath

    chain se raat basar ho gai shar kuchh na hua

    wahi moti hai jo ho sarf tere zewar mein

    jo na in kanon tak aaya wo guhar kuchh na hua

    aankh ki band yahan aur wahan ja pahunche

    manzil-e-mulk-e-adam ka to safar kuchh na hua

    kya kahen zor na qismat se chala ai 'akbar'

    koshishen wasl ki lakhon huin par kuchh na hua

    Source:

    Bagh-e-Khayal-e-Akbar (Pg. 30)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Abulolai Press, Aagra
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now