Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri

    rang kar rahā un shabāb āḳhir-kār

    jis ne dekhā vo huā ḳhāna-ḳharāb āḳhir-kār

    barsoñ qāsid bhī ga.e barsoñ payāmī bhī ga.e

    na diyā us ne mire ḳhat javāb āḳhir-kār

    tār-e-anfās bhī TuuTā unheñ ginte ginte

    na huā mere gunāhoñ hisāb āḳhir-kār

    ro ke kaaTī haiñ tire hijr meñ lākhoñ rāteñ

    qabr meñ aaya mirī āñkhoñ meñ ḳhvāb āḳhir-kār

    bahr-e-ālam meñ yūñhī josh rahegā tā-hashr

    TuuT jā.egā har ik misl-e-habāb āḳhir-kār

    shukr hai maut bhī aa.ī mirī maiḳhāne meñ

    hosh meñ aaya na maiñ mast-e-ḳharāb āḳhir-kār

    us mazmūñ hai adaq us ibārat dushvār

    paḌh sakā maiñ na mohabbat kitāb āḳhir-kār

    'sabr' maiñ bār-e-jasad chhoḌ ke kyūñkar bhāgūñ

    zindagānī mire sar par hai azaab āḳhir-kār

    rang la kar hi raha un ka shabab aaKHir-kar

    jis ne dekha wo hua KHana-KHarab aaKHir-kar

    barson qasid bhi gae barson payami bhi gae

    na diya us ne mere KHat ka jawab aaKHir-kar

    tar-e-anfas bhi TuTa unhen ginte ginte

    na hua mere gunahon ka hisab aaKHir-kar

    ro ke kaTi hain tere hijr mein lakhon raaten

    qabr mein aaya meri aankhon mein KHwab aaKHir-kar

    bahr-e-alam mein yunhi josh rahega ta-hashr

    TuT jaega har ek misl-e-habab aaKHir-kar

    shukr hai maut bhi aai meri maiKHane mein

    hosh mein aaya na main mast-e-KHarab aaKHir-kar

    us ka mazmun hai adaq us ki ibarat dushwar

    paDh saka main na mohabbat ki kitab aaKHir-kar

    'sabr' main bar-e-jasad chhoD ke kyunkar bhagun

    zindagani mere sar par hai azab aaKHir-kar

    Source:

    Deewan-e-Sabr (Pg. 134)

    • Author: Abul Baqa Sabr Saharanpuri
      • Publisher: Mahboobul Matabe, Delhi
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now