Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham

Muneer Niyazi

rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    rañgoñ vahshatoñ tamāshā thī bām-e-shām

    taarī thā har makāñ pe jalāl-e-davām-e-shām

    guldasta-e-jihāt thā nairañg-e-rāh-e-ishq

    thā ik tilism-e-husn-e-ḳhayābān-e-dām-e-shām

    aage manziloñ taraf shaam safar

    jaise shaboñ ke dil meñ thā shahr-e-qayām-e-shām

    bāñdhe hue haiñ vaqt sabhī us ke hukm meñ

    hai jis ḳhudā ke haath meñ kār-e-nizām-e-shām

    dhuñdlā ga.ī hai shaam shab-e-ḳhām se 'munīr'

    ḳhālī huā kashish sharāboñ se jām-e-shām

    rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e-sham

    tari tha har makan pe jalal-e-dawam-e-sham

    guldasta-e-jihat tha nairang-e-rah-e-ishq

    tha ek tilism-e-husn-e-KHayaban-e-dam-e-sham

    aage ki manzilon ki taraf sham ka safar

    jaise shabon ke dil mein tha shahr-e-qayam-e-sham

    bandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mein

    hai jis KHuda ke hath mein kar-e-nizam-e-sham

    dhundla gai hai sham shab-e-KHam se 'munir'

    KHali hua kashish ki sharabon se jam-e-sham

    Source:

    Muasir (Pg. 467)

    • Author: Habibullah
      • Publisher: Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now