ras gholte shirin lafzon ki tasir se KHushbu aati hai
ras gholte shīrīñ lafzoñ kī tāsīr se ḳhushbū aatī hai
andāz-e-bayāñ se lahje se taqrīr se ḳhushbū aatī hai
sab harf chamakne lagte haiñ jab harf-e-tamannā likhtā huuñ
har saañs mahakne lagtī hai tahrīr se ḳhushbū aatī hai
maiñ raat ga.e sannāToñ meñ tā'bīreñ likhtā rahtā huuñ
jab girheñ khulne lagtī haiñ tā'bīr se ḳhushbū aatī hai
jab zulm hisār banātā hai to ḳhauf kī sarhad bantī hai
jab 'ishq hisār banātā hai zanjīr se ḳhushbū aatī hai
ik 'ishq-ābād basāne meñ yā'nī puure afsāne meñ
tahzīb-e-tamannā meñ khoī tā'mīr se ḳhushbū aatī hai
ras gholte shirin lafzon ki tasir se KHushbu aati hai
andaz-e-bayan se lahje se taqrir se KHushbu aati hai
sab harf chamakne lagte hain jab harf-e-tamanna likhta hun
har sans mahakne lagti hai tahrir se KHushbu aati hai
main raat gae sannaTon mein ta'biren likhta rahta hun
jab girhen khulne lagti hain ta'bir se KHushbu aati hai
jab zulm hisar banata hai to KHauf ki sarhad banti hai
jab 'ishq hisar banata hai zanjir se KHushbu aati hai
ek 'ishq-abaad basane mein ya'ni pure afsane mein
tahzib-e-tamanna mein khoi ta'mir se KHushbu aati hai
- Book : Ishq (Pg. 111)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.