Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasm-e-girya bhi uTha di humne

Shohrat Bukhari

rasm-e-girya bhi uTha di humne

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    rasm-e-girya bhī uThā ham ne

    āḳhirī sham' bujhā ham ne

    ek mauhūm tasavvur ke liye

    ruuh aab gañvā ham ne

    darmiyān-e-dil o gulzār-e-hayāt

    ġham dīvār uThā ham ne

    raakh bhī paa.e na koī apnī

    ab ke vo aag lagā ham ne

    sansanāte rahe taare pahroñ

    kyuuñ tirī baat sunā ham ne

    har kaḌī raah meñ har manzil par

    tere ġham ko sadā ham ne

    aas ke bujhte hue sho.ale ko

    tere dāman se havā ham ne

    jab tujhe bhūlnā chāhā dil ne

    ik na.e ġham sazā ham ne

    koī ġhuncha kisī goshe meñ khilā

    baaġh meñ dhuum machā ham ne

    kaisī ābād thī duniyā 'shohrat'

    kaisī sunsān banā ham ne

    rasm-e-girya bhi uTha di hum ne

    aaKHiri sham' bujha di hum ne

    ek mauhum tasawwur ke liye

    ruh ki aab ganwa di hum ne

    darmiyan-e-dil o gulzar-e-hayat

    gham ki diwar uTha di hum ne

    rakh bhi pae na koi apni

    ab ke wo aag laga di hum ne

    sansanate rahe tare pahron

    kyun teri baat suna di hum ne

    har kaDi rah mein har manzil par

    tere hi gham ko sada di hum ne

    aas ke bujhte hue shoale ko

    tere daman se hawa di hum ne

    jab tujhe bhulna chaha dil ne

    ek nae gham ki saza di hum ne

    koi ghuncha kisi goshe mein khila

    bagh mein dhum macha di hum ne

    kaisi aabaad thi duniya 'shohrat'

    kaisi sunsan bana di hum ne

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 217)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now