Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rata hai abruwan par hath aksar lawabaali ka

Abroo Shah Mubarak

rata hai abruwan par hath aksar lawabaali ka

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

  ratā hai abruvāñ par haath aksar lāvabālī

  hunar sīkhā hai us shamshīr-zan ne bed-e-mālī

  har ik jo uzv hai so misra-e-dilchasp hai mauzūñ

  magar dīvān hai ye husn sar-tā-pā jamālī

  nagīñ tarah dāġh-e-rashk suuñ kaalā huā laalā

  liyā jab naam gulshan meñ tumhāre lab laalī

  raqībāñ huā nāchīz bātāñ sun ke yuuñ bad-ḳhū

  vagarna jag meñ shohrā thā sanam ḳhush-ḳhisālī

  hamāre haq meñ nādānī suuñ kahnā ġhair maanā

  gilā ab kyā karūñ us shoḳh maiñ ḳhurd-sālī

  yahī charchā hai majlis meñ sajan har zabāñ upar

  mirā qissa goyā mazmūñ huā hai sher-e-hālī

  tumhārā qudratī hai husn ārā.ish kyā hājat

  nahīñ muhtāj ye bāġh-e-sadā-sarsabz maalī

  lage hai shīrīñ us ko saarī apnī umr talḳhī

  maza paayā hai jin āshiq niiñ tere sun ke gaalī

  mubārak naam tere 'ābrū' kyuuñ na ho jag meñ

  asar hai tire dīdār farḳhunda-fālī

  rata hai abruwan par hath aksar lawabaali ka

  hunar sikha hai us shamshir-zan ne bed-e-mali ka

  har ek jo uzw hai so misra-e-dilchasp hai mauzun

  magar diwan hai ye husn sar-ta-pa jamali ka

  nagin ki tarah dagh-e-rashk sun kala hua lala

  liya jab nam gulshan mein tumhaare lab ki lali ka

  raqiban ki hua nachiz baatan sun ke yun bad-KHu

  wagarna jag mein shohra tha sanam ki KHush-KHisali ka

  hamare haq mein nadani sun kahna ghair ka mana

  gila ab kya karun us shoKH ki main KHurd-sali ka

  yahi charcha hai majlis mein sajan ki har zaban upar

  mera qissa goya mazmun hua hai sher-e-haali ka

  tumhaara qudrati hai husn aaraish ki kya hajat

  nahin muhtaj ye bagh-e-sada-sarsabz mali ka

  lage hai shirin us ko sari apni umr ki talKHi

  maza paya hai jin aashiq nin tere sun ke gali ka

  mubarak nam tere 'abru' ka kyun na ho jag mein

  asar hai yu tere didar ki farKHunda-fali ka

  Source :
  • Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 81)
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now