Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rota raha main usko wo roya kiya mujhe

Ankit Aab

rota raha main usko wo roya kiya mujhe

Ankit Aab

MORE BYAnkit Aab

    rotā rahā maiñ us ko vo royā kiyā mujhe

    kal raat ek dasht ne dariyā kiyā mujhe

    vaise to hādse ka.ī pahle bhī ho chuke

    lekin ye kyā ki tum ne to sajda kiyā mujhe

    mujh par davā-e-zaḳhm huī be-asar to phir

    us ke gudāz jism ne achchhā kiyā mujhe

    āñkhoñ meñ jab talak rahā duniyā raat thā

    chhū kar tirī nazar ne saverā kiyā mujhe

    kis bichhoh thā mujhe tārīk kar gayā

    kis ke milan ne phir se diyā kiyā mujhe

    us pyaas thī mujhe dar-dar jo le ga.ī

    aur us aarzū ne sahrā kiyā mujhe

    rota raha main us ko wo roya kiya mujhe

    kal raat ek dasht ne dariya kiya mujhe

    waise to hadse kai pahle bhi ho chuke

    lekin ye kya ki tum ne to sajda kiya mujhe

    mujh par dawa-e-zaKHm hui be-asar to phir

    us ke gudaz jism ne achchha kiya mujhe

    aankhon mein jab talak raha duniya ki raat tha

    chhu kar teri nazar ne sawera kiya mujhe

    kis ka bichhoh tha mujhe tarik kar gaya

    kis ke milan ne phir se diya sa kiya mujhe

    us ki hi pyas thi mujhe dar-dar jo le gai

    aur us ki aarzu ne hi sahra kiya mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now