Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla

Iqbal Sajid

ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla

Iqbal Sajid

MORE BYIqbal Sajid

    ruḳh-e-raushan raushan ek pahlū bhī nahīñ niklā

    jise maiñ chāñd samjhā thā vo jugnū bhī nahīñ niklā

    vo terā dost jo phūloñ ko pathrāne aadī thā

    kuchh us se sho.abda-bāzī meñ kam bhī nahīñ niklā

    abhī kis muñh se maiñ da.avā karūñ shādāb hone

    abhī tarshe hue shāne pe baazū bhī nahīñ niklā

    gharoñ se kis liye ye bhiiḌ saḌkoñ par nikal aa.ī

    abhī to bāñTne vo shaḳhs ḳhushbū bhī nahīñ niklā

    shikārī aa.e the dil meñ shikār-e-ārzū karne

    magar is dasht meñ to ek aahū bhī nahīñ niklā

    tirī bhī husn-kārī ke hazāroñ log haiñ qaa.il

    galī-kūchoñ se lekin us jaadū bhī nahīñ niklā

    batā is daur meñ iqbāl-'sājid' kaun niklegā

    sadāqat alam le kar agar bhī nahīñ niklā

    ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla

    jise main chand samjha tha wo jugnu bhi nahin nikla

    wo tera dost jo phulon ko pathrane ka aadi tha

    kuchh us se shoabda-bazi mein kam tu bhi nahin nikla

    abhi kis munh se main dawa karun shadab hone ka

    abhi tarshe hue shane pe bazu bhi nahin nikla

    gharon se kis liye ye bhiD saDkon par nikal aai

    abhi to banTne wo shaKHs KHushbu bhi nahin nikla

    shikari aae the dil mein shikar-e-arzu karne

    magar is dasht mein to ek aahu bhi nahin nikla

    teri bhi husn-kari ke hazaron log hain qail

    gali-kuchon se lekin us ka jadu bhi nahin nikla

    bata is daur mein iqbaal-'sajid' kaun niklega

    sadaqat ka alam le kar agar tu bhi nahin nikla

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Sajid

    Iqbal Sajid

    Source:

    kulliyat-e-iqbaal saajid (Pg. 89)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now