aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruKH par hai malal aaj kaisa

Sakhi Lakhnvi

ruKH par hai malal aaj kaisa

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    ruḳh par hai malāl aaj kaisā

    dilbar hai malāl aaj kaisā

    us ḳhaal se kyā milī hai zillat

    aḳhtar hai malāl aaj kaisā

    be-yār nahīñ huā tirā daur

    sāġhar hai malāl aaj kaisā

    kyā aa.ī hai yaad teġh-e-qātil

    ai sar hai malāl aaj kaisā

    hai rāhat-e-vasl ke jo aamad

    muztar hai malāl aaj kaisā

    indar merī aah sun ke bole

    bāhar hai malāl aaj kaisā

    kyā aa.ī hai kuchh ḳhabar 'saḳhī'

    ghar ghar hai malāl aaj kaisā

    ruKH par hai malal aaj kaisa

    dilbar hai malal aaj kaisa

    us KHal se kya mili hai zillat

    aKHtar hai malal aaj kaisa

    be-yar nahin hua tera daur

    saghar hai malal aaj kaisa

    kya aai hai yaad tegh-e-qatil

    ai sar hai malal aaj kaisa

    hai rahat-e-wasl ke jo aamad

    muztar hai malal aaj kaisa

    indar meri aah sun ke bole

    bahar hai malal aaj kaisa

    kya aai hai kuchh KHabar 'saKHi' ki

    ghar ghar hai malal aaj kaisa

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-12 page-3 )

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now