Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

Raghunath Sahai

rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

Raghunath Sahai

MORE BYRaghunath Sahai

    rumūz-e-ġham se begāne ḳhushī raaz kyā jāneñ

    qazā se Darne vaale zindagī raaz kyā jāneñ

    khulā jin par na rāz-e-girya-e-shabnam gulistāñ meñ

    vo nādāñ ġhuncha-o-gul hañsī raaz kyā jāneñ

    hañsī aatī hai ham ko hazrat-e-vā.iz bātoñ par

    jo ḳhud mai-kash nahīñ vo mai-kashī raaz kyā jāneñ

    jo ho ke rah ga.e ġham roz-e-raushan ke ujāloñ meñ

    shab-e-ġham bhayānak tīrgī raaz kyā jāneñ

    batā.eñge bhalā kyā ḳhizar ham ko raah manzil

    vo ḳhud gum-karda-rah haiñ rahbarī raaz kyā jāneñ

    butān-e-fitna-jū se kyā tavaqqo.a āshnā.ī

    bhalā ye dushman-e-jāñ dostī raaz kyā jāneñ

    koī aarif ai 'ummīd' use samjhe agar samjhe

    ye farzāne mirī dīvāngī raaz kyā jāneñ

    rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

    qaza se Darne wale zindagi ka raaz kya jaanen

    khula jin par na raaz-e-girya-e-shabnam gulistan mein

    wo nadan ghuncha-o-gul ki hansi ka raaz kya jaanen

    hansi aati hai hum ko hazrat-e-waiz ki baaton par

    jo KHud mai-kash nahin wo mai-kashi ka raaz kya jaanen

    jo ho ke rah gae gham roz-e-raushan ke ujalon mein

    shab-e-gham ki bhayanak tirgi ka raaz kya jaanen

    bataenge bhala kya KHizar hum ko rah manzil ki

    wo KHud gum-karda-rah hain rahbari ka raaz kya jaanen

    butan-e-fitna-ju se kya tawaqqoa aashnai ki

    bhala ye dushman-e-jaan dosti ka raaz kya jaanen

    koi aarif hi ai 'ummid' use samjhe agar samjhe

    ye farzane meri diwangi ka raaz kya jaanen

    Source:

    SAAZ-O-NAVA (Pg. 57)

      • Publisher: Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now