Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai

Mayank Awasthi

sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    sādgī pahchān jis ḳhāmushī āvāz hai

    sochiye us aa.ine se kyuuñ koī nārāz hai

    be-sabab sāyoñ ko apne lambe qad pe naaz hai

    ḳhaak meñ mil jā.eñge ye shaam āġhāz hai

    yuuñ havā lahroñ pe kuchh tahrīr kartī hai magar

    jhuum kar bahtā hai dariyā yahī andāz hai

    dekh kar shāhīñ ko piñjre meñ patingā kuchh kahe

    jāntā vo bhī hai kis meñ quvvat-e-parvāz hai

    kyuuñ muġhannī ke liye bechain hai is qadar

    ai dil-e-nādāñ ki to ik shikasta saaz hai

    sadgi pahchan jis ki KHamushi aawaz hai

    sochiye us aaine se kyun koi naraaz hai

    be-sabab sayon ko apne lambe qad pe naz hai

    KHak mein mil jaenge ye sham ka aaghaz hai

    yun hawa lahron pe kuchh tahrir karti hai magar

    jhum kar bahta hai dariya ka yahi andaz hai

    dekh kar shahin ko pinjre mein patinga kuchh kahe

    jaanta wo bhi hai kis mein quwwat-e-parwaz hai

    kyun mughanni ke liye bechain hai tu is qadar

    ai dil-e-nadan ki tu to ek shikasta saz hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now