aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

Mohsin Ehsan

sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    saa.e ummīd thī tārīkiyāñ phailā gayā

    jo shajar phūTā zamīñ se biij ko khā gayā

    kyā gila tujh se ki gulshan muqaddar hai yahī

    abr ghir kar jab bhī aayā aag barsā gayā

    ab kināroñ se na māñge qatre qatre hisāb

    kyuuñ samundar taraf bahtā huā dariyā gayā

    merī sairābī bhī merī tishnagī se kam na thī

    maiñ misāl-e-abr aayā sūrat-e-sahrā gayā

    husn ke hamrāh chaltā thā julūsi-e-tishnagāñ

    ishq tanhā dahr meñ aayā thā aur tanhā gayā

    'mohsin'-ehsāñ kisī bādal TukḌā hai ki jo

    ek lamhe ke liye aayā ghirā barsā gayā

    sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

    jo shajar phuTa zamin se bij hi ko kha gaya

    kya gila tujh se ki gulshan ka muqaddar hai yahi

    abr ghir kar jab bhi aaya aag hi barsa gaya

    ab kinaron se na mange qatre qatre ka hisab

    kyun samundar ki taraf bahta hua dariya gaya

    meri sairabi bhi meri tishnagi se kam na thi

    main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya

    husn ke hamrah chalta tha julusi-e-tishnagan

    ishq tanha dahr mein aaya tha aur tanha gaya

    'mohsin'-ehsan kisi baadal ka TukDa hai ki jo

    ek lamhe ke liye aaya ghira barsa gaya

    Source:

    naquush (Pg. 259)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now