Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sakin hai koi aur watan aur kisi ka

Abdul Wahab Sukhan

sakin hai koi aur watan aur kisi ka

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    sākin hai koī aur vatan aur kisī

    ye ruuh kisī hai badan aur kisī

    surḳhī hai kaho mire har sarv-o-saman meñ

    paḌhtā hai qasīda ye chaman aur kisī

    taskīn bā'is hai kisī aur pahlū

    ehsās dilātī hai chubhan aur kisī

    ā.īna samajhte haiñ tujhe sab ye alag baat

    hai tujh meñ magar ā.īna-pan aur kisī

    ye pyaar jazba tire kuchh kaam to aa.e

    merā nahīñ bantā hai to ban aur kisī

    kahte haiñ suḳhanvar mujhe nisbat se tirī sab

    rahtā hai mire lab pe 'suḳhan' aur kisī

    sakin hai koi aur watan aur kisi ka

    ye ruh kisi ki hai badan aur kisi ka

    surKHi hai kaho ki mere har sarw-o-saman mein

    paDhta hai qasida ye chaman aur kisi ka

    taskin ka ba'is hai kisi aur ka pahlu

    ehsas dilati hai chubhan aur kisi ka

    aaina samajhte hain tujhe sab ye alag baat

    hai tujh mein magar aaina-pan aur kisi ka

    ye pyar ka jazba tere kuchh kaam to aae

    mera nahin banta hai to ban aur kisi ka

    kahte hain suKHanwar mujhe nisbat se teri sab

    rahta hai mere lab pe 'suKHan' aur kisi ka

    Source:

    Nai Rut Ka Safar (Pg. 26)

    • Author: Abdul Wahab Sukhan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mishkaat Printer, Aligrah
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now