Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne tu main ba-wuzu bhi nahin

Sufiya Deepika Kausar

samne tu main ba-wuzu bhi nahin

Sufiya Deepika Kausar

MORE BYSufiya Deepika Kausar

    sāmne maiñ bā-vuzū bhī nahīñ

    aur tāhir nazar ḳhū bhī nahīñ

    shor dil kar rahā hai siine meñ

    aur bas meñ rag-e-gulū bhī nahīñ

    sajda bas sajda shukr sajda

    zehn meñ kaun hai jo bhī nahīñ

    chāk-dāman libās-e-jism to hai

    haañ koī sūrat-e-rafū bhī nahīñ

    aa utar dekh bas hai ishq terā

    in ragoñ meñ to ab lahū bhī nahīñ

    ye ḳhamoshī koī ḳhamoshī hai

    dasht-o-sahrā meñ hā-o-hū bhī nahīñ

    tauba zauq-e-gunāh uf tauba

    is ḳhatā se surḳh-rū bhī nahīñ

    ham-kalāmī daur ḳhatm huā

    hai pahlū meñ guftugū bhī nahīñ

    tum se milne ke baad ai 'kausar'

    ab koī aur aarzū bhī nahīñ

    samne tu main ba-wuzu bhi nahin

    aur tahir nazar ki KHu bhi nahin

    shor dil kar raha hai sine mein

    aur bas mein rag-e-gulu bhi nahin

    sajda bas sajda shukr ka sajda

    zehn mein kaun hai jo tu bhi nahin

    chaak-daman libas-e-jism to hai

    han koi surat-e-rafu bhi nahin

    aa utar dekh bas hai ishq tera

    in ragon mein to ab lahu bhi nahin

    ye KHamoshi koi KHamoshi hai

    dasht-o-sahra mein ha-o-hu bhi nahin

    tauba zauq-e-gunah uf tauba

    is KHata se tu surKH-ru bhi nahin

    ham-kalami ka daur KHatm hua

    tu hai pahlu mein guftugu bhi nahin

    tum se milne ke baad ai 'kausar'

    ab koi aur aarzu bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now