Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanson ke is hunar ko na aasan KHayal kar

Mohsin Naqvi

sanson ke is hunar ko na aasan KHayal kar

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    sāñsoñ ke is hunar ko na āsāñ ḳhayāl kar

    zinda huuñ sā.atoñ ko maiñ sadiyoñ meñ Dhaal kar

    maalī ne aaj kitnī duā.eñ vasūl kiiñ

    kuchh phuul ik faqīr jholī meñ Daal kar

    kul yaum-e-hijr zard zamānoñ yaum hai

    shab bhar na jaag muft meñ āñkheñ na laal kar

    ai gard-bād lauT ke aanā hai phir mujhe

    rakhnā mire safar aziyyat sambhāl kar

    mehrāb meñ diye tarah zindagī guzār

    muñh-zor āñdhiyoñ meñ na ḳhud ko niDhāl kar

    shāyad kisī ne buḳhl-e-zamīñ par kiyā hai tanz

    gahre samundaroñ se jazīre nikāl kar

    ye naqd-e-jāñ ki is luTānā to sahl hai

    gar ban paḌe to is se bhī mushkil savāl kar

    'mohsin' barahna-sar chalī aa.ī hai shām-e-ġham

    ġhurbat na dekh is pe sitāroñ shaal kar

    sanson ke is hunar ko na aasan KHayal kar

    zinda hun saaton ko main sadiyon mein Dhaal kar

    mali ne aaj kitni duaen wasul kin

    kuchh phul ek faqir ki jholi mein Dal kar

    kul yaum-e-hijr zard zamanon ka yaum hai

    shab bhar na jag muft mein aankhen na lal kar

    ai gard-baad lauT ke aana hai phir mujhe

    rakhna mere safar ki aziyyat sambhaal kar

    mehrab mein diye ki tarah zindagi guzar

    munh-zor aandhiyon mein na KHud ko niDhaal kar

    shayad kisi ne buKHl-e-zamin par kiya hai tanz

    gahre samundaron se jazire nikal kar

    ye naqd-e-jaan ki is ka luTana to sahl hai

    gar ban paDe to is se bhi mushkil sawal kar

    'mohsin' barahna-sar chali aai hai sham-e-gham

    ghurbat na dekh is pe sitaron ki shaal kar

    Source:

    Kulliyat-e-mohsin (Pg. 887)

    • Author: Mohsin Naqvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Mavra Publishers
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now