Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqiya aisa pila de mai ka mujhko jam talKH

Haqeer

saqiya aisa pila de mai ka mujhko jam talKH

Haqeer

MORE BYHaqeer

    sāqiyā aisā pilā de mai mujh ko jaam talḳh

    zindagī dushvār ho aur ho mujhe ārām talḳh

    maiñ to shīrīñ-tar shakar se bhī samajhtā huuñ use

    jab vo dete haiñ burā kah kar mujhe dushnām talḳh

    bazm-e-mai meñ zikr tak aane nahīñ dete haiñ vo

    hai hamārā naam goyā zahr ik jaam talḳh

    kyā sabab lete nahīñ vo naam tak merā kabhī

    ḳhauf is hai na ho jaa.eñ zabān-o-kām talḳh

    ishq ke phande se bachiye ai 'haqīr'-e-ḳhasta-dil

    is hai āġhāz shīrīñ aur hai anjām talḳh

    saqiya aisa pila de mai ka mujh ko jam talKH

    zindagi dushwar ho aur ho mujhe aaram talKH

    main to shirin-tar shakar se bhi samajhta hun use

    jab wo dete hain bura kah kar mujhe dushnam talKH

    bazm-e-mai mein zikr tak aane nahin dete hain wo

    hai hamara nam goya zahr ka ek jam talKH

    kya sabab lete nahin wo nam tak mera kabhi

    KHauf is ka hai na ho jaen zaban-o-kaam talKH

    ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-KHasta-dil

    is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talKH

    Source:

    Deewan-e-Haqeer (Pg. 24)

    • Author: Haqeer
      • Publisher: Unknown Organization
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now