Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sari duniya ke talluq se jo socha jata

Qaisarul Jafri

sari duniya ke talluq se jo socha jata

Qaisarul Jafri

MORE BYQaisarul Jafri

    saarī duniyā ke ta.alluq se jo sochā jaatā

    aadmī itne qabīloñ meñ na bāñTā jaatā

    dil ahvāl na pūchho ki bahut roz hue

    is ḳharābe taraf maiñ nahīñ aatā jaatā

    zindagī tishna-dahānī safar thī shāyad

    ham jidhar jaate usī raah pe sahrā jaatā

    shaam hote koī sham.a jalā rakhnī thī

    jab darīche se havā aatī to dekhā jaatā

    raushnī apne gharoñdoñ meñ chhupī thī varna

    shahr ke shahr pe shab-ḳhūn na maarā jaatā

    saare kāġhaz pe bichhī thiiñ mirī āñkheñ 'qaisar'

    itne aañsū the ki ik harf na likkhā jaatā

    sari duniya ke talluq se jo socha jata

    aadmi itne qabilon mein na banTa jata

    dil ka ahwal na puchho ki bahut roz hue

    is KHarabe ki taraf main nahin aata jata

    zindagi tishna-dahani ka safar thi shayad

    hum jidhar jate usi rah pe sahra jata

    sham hote hi koi shama jala rakhni thi

    jab dariche se hawa aati to dekha jata

    raushni apne gharondon mein chhupi thi warna

    shahr ke shahr pe shab-KHun na mara jata

    sare kaghaz pe bichhi thin meri aankhen 'qaisar'

    itne aansu the ki ek harf na likkha jata

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sari duniya ke talluq se jo socha jata Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now