Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake

Ibn e Insha

sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    sab ko dil ke daaġh dikhā.e ek tujhī ko dikhā na sake

    terā dāman duur nahīñ thā haath hamīñ phailā na sake

    ai dost kahāñ le aayā chehra ye ḳhurshīd-misāl

    siine meñ ābād kareñge āñkhoñ meñ to samā na sake

    tujh se kuchh ham ko nisbat tujh ko kuchh ham se kaam

    ham ko ye mālūm thā lekin dil ko ye samjhā na sake

    ab tujh se kis muñh se kah deñ saat samundar paar na

    biich ik dīvār bhī ham to phāñd na paa.e Dhā na sake

    man paapī ujḌī khetī sūkhī sūkhī rahī

    umDe bādal garje bādal būñdeñ do barsā na sake

    sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake

    tera daman dur nahin tha hath hamin phaila na sake

    tu ai dost kahan le aaya chehra ye KHurshid-misal

    sine mein aabaad karenge aankhon mein to sama na sake

    na tujh se kuchh hum ko nisbat na tujh ko kuchh hum se kaam

    hum ko ye malum tha lekin dil ko ye samjha na sake

    ab tujh se kis munh se kah den sat samundar par na ja

    bich ki ek diwar bhi hum to phand na pae Dha na sake

    man papi ki ujDi kheti sukhi ki sukhi hi rahi

    umDe baadal garje baadal bunden do barsa na sake

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sab ko dil ke dagh dikhae ek tujhi ko dikha na sake Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now