Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab rang na-tamam hon halka libas ho

Ghulam Mohammad Qasir

sab rang na-tamam hon halka libas ho

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    sab rañg nā-tamām hoñ halkā libās ho

    shaffāf pāniyoñ pe kañval libās ho

    ashkoñ se bun ke marsiya pahnā diyā gayā

    ab zindagī ke tan pe ġhazal libās ho

    har ek aadmī ko mile ḳhil.at-e-bashar

    har ek jhoñpaḌī pe mahal libās ho

    sun le jo aane vaale zamāne āhaTeñ

    kaise kahe ki aaj bhī kal libās ho

    rab kisī sadī ke ufuq par Thahar na jaa.e

    ik aisī sub.h jis dhundalkā libās ho

    ujlā rahegā sirf mohabbat ke jism par

    sadiyoñ pairahan ho ki pal libās ho

    sab rang na-tamam hon halka libas ho

    shaffaf paniyon pe kanwal ka libas ho

    ashkon se bun ke marsiya pahna diya gaya

    ab zindagi ke tan pe ghazal ka libas ho

    har ek aadmi ko mile KHilat-e-bashar

    har ek jhonpaDi pe mahal ka libas ho

    sun le jo aane wale zamane ki aahaTen

    kaise kahe ki aaj bhi kal ka libas ho

    ya rab kisi sadi ke ufuq par Thahar na jae

    ek aisi subh jis ka dhundalka libas ho

    ujla rahega sirf mohabbat ke jism par

    sadiyon ka pairahan ho ki pal ka libas ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sab rang na-tamam hon halka libas ho Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now