Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabaq aisa paDha diya tu ne

Dagh Dehlvi

sabaq aisa paDha diya tu ne

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    sabaq aisā paḌhā diyā ne

    dil se sab kuchh bhulā diyā ne

    ham nikamme hue zamāne ke

    kaam aisā sikhā diyā ne

    kuchh ta'alluq rahā na duniyā se

    shaġhl aisā batā diyā ne

    kis ḳhushī ḳhabar sunā ke mujhe

    ġham putlā banā diyā ne

    kyā batā.ūñ ki kyā liyā maiñ ne

    kyā kahūñ maiñ ki kyā diyā ne

    be-talab jo milā milā mujh ko

    be-ġharaz jo diyā diyā ne

    umr-e-jāved ḳhizr ko baḳhshī

    āb-e-haivāñ pilā diyā ne

    nār-e-namrūd ko kiyā gulzār

    dost ko yuuñ bachā diyā ne

    dast-e-mūsā meñ faiz baḳhshish hai

    nūr-o-lauh-o-asā diyā ne

    sub.h mauj-e-nasīm-e-gulshan ko

    nafas-e-jāñ-fazā diyā ne

    shab-e-tīra meñ sham-e-raushan ko

    nuur ḳhurshīd diyā ne

    naġhma bulbul ko rañg-o-bū gul ko

    dil-kash-o-ḳhushnumā diyā ne

    kahīñ mushtāq se hijāb huā

    kahīñ parda uThā diyā ne

    thā mirā muñh na qābil-e-labbaik

    kā'ba mujh ko dikhā diyā ne

    jis qadar maiñ ne tujh se ḳhvāhish

    us se mujh ko sivā diyā ne

    rahbar-e-ḳhizr-o-hādī-e-ilyās

    mujh ko vo rahnumā diyā ne

    miT ga.e dil se naqsh-e-bātil sab

    naqsha apnā jamā diyā ne

    hai yahī rāh-e-manzil-e-maqsūd

    ḳhuub raste lagā diyā ne

    mujh gunahgār ko jo baḳhsh diyā

    to jahannum ko kyā diyā ne

    'dāġh' ko kaun dene vaalā thā

    jo diyā ai ḳhudā diyā ne

    sabaq aisa paDha diya tu ne

    dil se sab kuchh bhula diya tu ne

    hum nikamme hue zamane ke

    kaam aisa sikha diya tu ne

    kuchh ta'alluq raha na duniya se

    shaghl aisa bata diya tu ne

    kis KHushi ki KHabar suna ke mujhe

    gham ka putla bana diya tu ne

    kya bataun ki kya liya main ne

    kya kahun main ki kya diya tu ne

    be-talab jo mila mila mujh ko

    be-gharaz jo diya diya tu ne

    umr-e-jawed KHizr ko baKHshi

    aab-e-haiwan pila diya tu ne

    nar-e-namrud ko kiya gulzar

    dost ko yun bacha diya tu ne

    dast-e-musa mein faiz baKHshish hai

    nur-o-lauh-o-asa diya tu ne

    subh mauj-e-nasim-e-gulshan ko

    nafas-e-jaan-faza diya tu ne

    shab-e-tira mein sham-e-raushan ko

    nur KHurshid ka diya tu ne

    naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko

    dil-kash-o-KHushnuma diya tu ne

    kahin mushtaq se hijab hua

    kahin parda uTha diya tu ne

    tha mera munh na qabil-e-labbaik

    ka'ba mujh ko dikha diya tu ne

    jis qadar main ne tujh se KHwahish ki

    us se mujh ko siwa diya tu ne

    rahbar-e-KHizr-o-hadi-e-ilyas

    mujh ko wo rahnuma diya tu ne

    miT gae dil se naqsh-e-baatil sab

    naqsha apna jama diya tu ne

    hai yahi rah-e-manzil-e-maqsud

    KHub raste laga diya tu ne

    mujh gunahgar ko jo baKHsh diya

    to jahannum ko kya diya tu ne

    'dagh' ko kaun dene wala tha

    jo diya ai KHuda diya tu ne

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Suman Kalyanpur

    Suman Kalyanpur

    Source:

    Kulliyat-e-Dagh (Pg. 339)

    • Author: Dagh Dehlvi
      • Publisher: Kitabi Duniya, Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now