Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten

Faiz Ahmad Faiz

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    sabhī kuchh hai terā diyā huā sabhī rāhateñ sabhī kulfateñ

    kabhī sohbateñ kabhī furqateñ kabhī dūriyāñ kabhī qurbateñ

    ye suḳhan jo ham ne raqam kiye ye haiñ sab varaq tirī yaad ke

    koī lamha sub.h-e-visāl koī shām-e-hijr muddateñ

    jo tumhārī maan leñ nāsehā to rahegā dāman-e-dil meñ kyā

    na kisī adū adāvateñ na kisī sanam muravvateñ

    chalo aao tum ko dikhā.eñ ham jo bachā hai maqtal-e-shahr meñ

    ye mazār ahl-e-safā ke haiñ ye haiñ ahl-e-sidq turbateñ

    mirī jaan aaj ġham na kar ki na jaane kātib-e-vaqt ne

    kisī apne kal meñ bhī bhuul kar kahīñ likh rakhī hoñ masarrateñ

    sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten

    kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten

    ye suKHan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke

    koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten

    jo tumhaari man len naseha to rahega daman-e-dil mein kya

    na kisi adu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten

    chalo aao tum ko dikhaen hum jo bacha hai maqtal-e-shahr mein

    ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten

    meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-waqt ne

    kisi apne kal mein bhi bhul kar kahin likh rakhi hon masarraten

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    RECITATIONS

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano,

    Iqbal Bano

    Iqbal Bano,

    Iqbal Bano

    sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten Iqbal Bano

    Iqbal Bano

    sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten Iqbal Bano

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 646)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now