Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabz hikayat surKH kahani

Aamir Suhail

sabz hikayat surKH kahani

Aamir Suhail

MORE BYAamir Suhail

    sabz hikāyat surḳh kahānī

    tere āñchal mehmānī

    sahj sahj us husn chalnā

    us pe andhī shab tūfānī

    ik misrā vo jism ikahrā

    duujā mere lab dahqānī

    jild sunahrī hoñT piyāzī

    is pe ḳhvāhish arzānī

    bāloñ ghanghor añdherā

    ubhrī īñToñ hairānī

    pinDlī se Takrātī pinDlī

    utran fitna-sāmānī

    ik laḌkī ke dūpaTTe par

    ham ne ik rut hai phailānī

    añgūroñ bel se shab-bhar

    bāteñ kartī hai vīrānī

    pusht ye niil paḌe hoñ jaise

    jaltā hai pātāl meñ paanī

    do jismoñ aañkh anokhī

    ḳhvāb aur ḳhvāhish yak-jānī

    os ke bhāle ruuh ke chhāle

    chhāle ik dil sailānī

    kaise dil masle jaatā hai

    gadlā din kauḌī yarqānī

    ik ta.avīz sabza dil par

    ek hikāyat raat raanī

    dekh dilāsoñ vaalā kaasa

    ishq damḌī hairānī

    sāvan ke chhajje par 'āmir'

    ik bhī buuñd nahīñ bārānī

    sabz hikayat surKH kahani

    tere aanchal ki mehmani

    sahj sahj us husn ka chalna

    us pe andhi shab tufani

    ek misra wo jism ikahra

    duja mere lab dahqani

    jild sunahri honT piyazi

    is pe KHwahish ki arzani

    baalon ka ghanghor andhera

    ubhri inTon ki hairani

    pinDli se Takraati pinDli

    utran ki fitna-samani

    ek laDki ke dupaTTe par

    hum ne ek rut hai phailani

    anguron ki bel se shab-bhar

    baaten karti hai virani

    pusht ye nil paDe hon jaise

    jalta hai patal mein pani

    do jismon ki aankh anokhi

    KHwab aur KHwahish ki yak-jaani

    os ke bhaale ruh ke chhaale

    chhaale sa ek dil sailani

    kaise dil masle jata hai

    gadla din kauDi yarqani

    ek tawiz ka sabza dil par

    ek hikayat raat ki rani

    dekh dilason wala kasa

    ishq ki damDi ki hairani

    sawan ke chhajje par 'amir'

    ek bhi bund nahin barani

    Source:

    Mashhad-e-Ishq (Pg. 73)

    • Author: Aamir Suhail
      • Publisher: Sanjh Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now