Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada rang-e-mina chamakta raha

Shad Lakhnavi

sada rang-e-mina chamakta raha

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    sadā rañg-e-mīnā chamaktā rahā

    hamesha ye sabza lahaktā rahā

    vo kūcha hai ulfat jis meñ sadā

    ḳhizar raah bhūlā bhaTaktā rahā

    khulā ye jahāñ parda-e-dar hilā

    jahāñ jo rahā sar paTaktā rahā

    batā lāġharī se hai par baal bhī

    maiñ āñkhoñ meñ sab khaTaktā rahā

    labālab yahāñ ho chukā jām-e-umr

    vahāñ sāġhar-e-mai chhalaktā rahā

    barastī rahī qabr par bekasī

    ġharīboñ madfan Tapaktā rahā

    rahā na.ara-zan kū-e-jānāñ meñ 'shād'

    gulistāñ meñ bulbul chahaktā rahā

    sada rang-e-mina chamakta raha

    hamesha ye sabza lahakta raha

    wo kucha hai ulfat ka jis mein sada

    KHizar rah bhula bhaTakta raha

    khula ye jahan parda-e-dar hila

    jahan jo raha sar paTakta raha

    bata laghari se hai par baal bhi

    main aankhon mein sab ki khaTakta raha

    labaalab yahan ho chuka jam-e-umr

    wahan saghar-e-mai chhalakta raha

    barasti rahi qabr par bekasi

    gharibon ka madfan Tapakta raha

    raha nara-zan ku-e-jaanan mein 'shad'

    gulistan mein bulbul chahakta raha

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-8 e-14 pdf-15)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now