Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati

Vikas Joshi Wahid

safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati

Vikas Joshi Wahid

MORE BYVikas Joshi Wahid

    safar meñ ab nahīñ par ābla-pā.ī nahīñ jaatī

    hamārī rāstoñ se yuuñ shanāsā.ī nahīñ jaatī

    raheñ ham mahfiloñ meñ raheñ duniyā ke mele meñ

    akelā chhoḌ kar lekin ye tanhā.ī nahīñ jaatī

    nigāhoñ ke ishāre bhī mohabbat bhī alāmat haiñ

    sabhī bāteñ zabānī to batlā.ī nahīñ jaatī

    baḌī nāzuk hai Dorī ye rishtoñ batā.ūñ kyā

    ulajh ik baar gir jaa.e to suljhā.ī nahīñ jaatī

    lagā.e koī bhī kitne yahāñ chehroñ pe chehre

    haqīqat aa.ine se phir bhī jhuTlā.ī nahīñ jaatī

    na jaane ḳhvāb haiñ kitne tamannā.eñ khilaunoñ

    magar ye zindagī un se to bahlā.ī nahīñ jaatī

    kahānī zindagī yuuñ to dilkash hai magar 'vāhid'

    koī ik baar jo paḌh le to dohrā.ī nahīñ jaatī

    safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati

    hamari raston se yun shanasai nahin jati

    rahen hum mahfilon mein ya rahen duniya ke mele mein

    akela chhoD kar lekin ye tanhai nahin jati

    nigahon ke ishaare bhi mohabbat bhi alamat hain

    sabhi baaten zabani hi to batlai nahin jati

    baDi nazuk si hai Dori ye rishton ki bataun kya

    ulajh ek bar gir jae to suljhai nahin jati

    lagae koi bhi kitne yahan chehron pe chehre hi

    haqiqat aaine se phir bhi jhuTlai nahin jati

    na jaane KHwab hain kitne tamannaen khilaunon si

    magar ye zindagi un se to bahlai nahin jati

    kahani zindagi ki yun to dilkash hai magar 'wahid'

    koi ek bar jo paDh le to dohrai nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now