Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

Nushur Wahidi

sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    sahar aur shaam se kuchh yuuñ guzartā rahā huuñ maiñ

    ki jiitā rahā huuñ aur martā rahā huuñ maiñ

    tamannā-e-muhāl-e-dil ko juzv-e-zindagī kar ke

    fasāna ziist pechīda kartā rahā huuñ maiñ

    gul-e-rañgīñ ye kahtā hai ki khilnā husn khonā hai

    magar ġhuncha samajhtā hai nikhartā rahā huuñ maiñ

    mirā dil bhī ajab ik sāġhar-e-zauq-e-tamannā hai

    ki hai ḳhālī ḳhālī aur bhartā rahā huuñ maiñ

    kahāñ tak irtibāt-e-jān-o-jānāñ ta.alluq hai

    sañvarte rahe haiñ vo sañvartā rahā huuñ maiñ

    javānī rahī hai aur maiñ mahv-e-tamāshā huuñ

    uḌī jaatī hai manzil aur Thahartā rahā huuñ maiñ

    bahut ūñchā uḌā lekin ab is auj-e-taḳhayyul se

    kisī duniyā-e-rañgīñ meñ utartā rahā huuñ maiñ

    'nushūr' āḳhir kahāñ tak fikr-e-duniyā dil dukhā.egī

    ġham-e-hastī ko zauq-e-sher kartā rahā huuñ maiñ

    sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

    ki jita ja raha hun aur marta ja raha hun main

    tamanna-e-muhaal-e-dil ko juzw-e-zindagi kar ke

    fasana zist ka pechida karta ja raha hun main

    gul-e-rangin ye kahta hai ki khilna husn khona hai

    magar ghuncha samajhta hai nikharta ja raha hun main

    mera dil bhi ajab ek saghar-e-zauq-e-tamanna hai

    ki hai KHali ka KHali aur bharta ja raha hun main

    kahan tak irtibaat-e-jaan-o-jaanan ka talluq hai

    sanwarte ja rahe hain wo sanwarta ja raha hun main

    jawani ja rahi hai aur main mahw-e-tamasha hun

    uDi jati hai manzil aur Thaharta ja raha hun main

    bahut uncha uDa lekin ab is auj-e-taKHayyul se

    kisi duniya-e-rangin mein utarta ja raha hun main

    'nushur' aaKHir kahan tak fikr-e-duniya dil dukhaegi

    gham-e-hasti ko zauq-e-sher karta ja raha hun main

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now