Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra mein ghaTa ka muntazir hun

Zuhoor Nazar

sahra mein ghaTa ka muntazir hun

Zuhoor Nazar

MORE BYZuhoor Nazar

    sahrā meñ ghaTā muntazir huuñ

    phir us vafā muntazir huuñ

    ik baar na jis ne muḌ ke dekhā

    us jān-e-sabā muntazir huuñ

    baiThā huuñ durūn-e-ḳhāna-e-ġham

    sailāb-e-balā muntazir huuñ

    jān-e-āb-e-baqā khoj meñ hai

    maiñ mauj-e-fanā muntazir huuñ

    khil jā.ūñgā apne aap se maiñ

    tahsīn-e-sabā muntazir huuñ

    is daur meñ ḳhvāhish-e-tarab hai

    madfan meñ havā muntazir huuñ

    maazī sazā bhugat rahā huuñ

    fardā sazā muntazir huuñ

    shāyad ki vahāñ mafar ho ġham se

    tasḳhīr-e-ḳhalā muntazir huuñ

    hāthoñ meñ hai mere dāman-e-shab

    sūraj sadā muntazir huuñ

    barsoñ se khaḌā huuñ haath uThā.e

    tāsīr-e-duā muntazir huuñ

    merā to ḳhudā kabhī nahīñ thā

    maiñ kis ke ḳhudā muntazir huuñ

    kahte haiñ jise 'nazar' musāfir

    us ābla-pā muntazir huuñ

    sahra mein ghaTa ka muntazir hun

    phir us ki wafa ka muntazir hun

    ek bar na jis ne muD ke dekha

    us jaan-e-saba ka muntazir hun

    baiTha hun durun-e-KHana-e-gham

    sailab-e-bala ka muntazir hun

    jaan-e-ab-e-baqa khoj mein hai

    main mauj-e-fana ka muntazir hun

    khil jaunga apne aap se main

    tahsin-e-saba ka muntazir hun

    is daur mein KHwahish-e-tarab hai

    madfan mein hawa ka muntazir hun

    mazi ki saza bhugat raha hun

    farda ki saza ka muntazir hun

    shayad ki wahan mafar ho gham se

    tasKHir-e-KHala ka muntazir hun

    hathon mein hai mere daman-e-shab

    suraj ki sada ka muntazir hun

    barson se khaDa hun hath uThae

    tasir-e-dua ka muntazir hun

    mera to KHuda kabhi nahin tha

    main kis ke KHuda ka muntazir hun

    kahte hain jise 'nazar' musafir

    us aabla-pa ka muntazir hun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 242)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now