Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge

Agha Hajju Sharaf

salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    salaf se log un pe mar rahe haiñ hamesha jāneñ liyā kareñge

    yahī karishme huā kiye haiñ yahī karishme huā kareñge

    hameñ jo be-jurm pīste ho ye jānte ho ki kyā kareñge

    ḳhudā ne chāhā to surma ho kar tumhārī āñkhoñ meñ kareñge

    na rahne deñge kabhī vo bāham tapāk dekheñge un meñ jis dam

    badan se ḳhārij kareñge jaañ ko jigar se dil ko judā kareñge

    chamak hai us meñ mohabbatāna ye be-qarārī hai āshiqāna

    mazā uThā.eñge dard-e-dil kabhī na is davā kareñge

    baḌhā to hai rabt ham se tum se ḳhudā ne chāhā to dekh loge

    tumhāre pahlū meñ yaar dil tarah hamesha rahā kareñge

    kisī ehsān ham na leñge kisī ko taklīf kuchh na deñge

    ḳhudā ne paidā kiyā hai ham ko ḳhudā se iltijā kareñge

    jab ā.eñge vo pa.e-ayādat to hogī dil ko umīd-e-sehhat

    zamāna mujh ko duā karegā masīh merī davā kareñge

    nahīñ ḳhush-a.amāl agar nahīñ huuñ farishte turbat meñ ḳhashmagīñ hoñ

    ḳhudā rahmat se mutma.in huuñ ye kyā kareñge vo kyā kareñge

    tamām hote haiñ dekh jā.ūñ jamāl aa ke hameñ dikhāo

    tumhāre ġham meñ laboñ pe dam hai koī ghaḌī meñ qazā kareñge

    rahegī yaad un ḳhush-ḳhirāmī mirā suḳhan hai ye lā-kalāmī

    qadam na parde se vo nikāleñ mirī nazar meñ phirā kareñge

    rulā.e jaatī hai un hasrat chalī aatī hai mujh ko riqqat

    raheñgī kaahe ko merī āñkheñ jo yūñhī aañsū bahā kareñge

    milā hai ārām āshiyāñ nahīñ kuchh andesha bāġhbāñ

    rihā bhī hoñge to aa ke aksar ham is qafas meñ rahā kareñge

    kahīñ Thikānā nahīñ hamārā tumhārī shafqat hai sahārā

    ġharīb haiñ do hameñ dilāsā tumhāre haq meñ duā kareñge

    laraz rahe haiñ satāne vaale ḳhudā ke aage ka.ī haiñ naale

    gurez un se karegā mahshar ye vo qayāmat bapā kareñge

    agar chhuTe bhī qafas se bulbul karegī barbād hasrat-e-gul

    rasā.ī hogī na āshiyāñ tak chaman meñ tinke chunā kareñge

    qubūl hogī duā hamārī kareñge jis dam ham āh-o-zārī

    kabhī na jā.egī uupar uupar hamārī hājat ravā kareñge

    nigāheñ un par jo ham ne Dālīñ unhoñ ne āñkheñ 'sharaf' nikālīñ

    sitam ye Dhāyā hai kam-sinī meñ javān ho ke vo kyā kareñge

    salaf se log un pe mar rahe hain hamesha jaanen liya karenge

    yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge

    hamein jo be-jurm piste ho ye jaante ho ki kya karenge

    KHuda ne chaha to surma ho kar tumhaari aankhon mein ja karenge

    na rahne denge kabhi wo baham tapak dekhenge un mein jis dam

    badan se KHarij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge

    chamak hai us mein mohabbatana ye be-qarari hai aashiqana

    maza uThaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dawa karenge

    baDha to hai rabt hum se tum se KHuda ne chaha to dekh loge

    tumhaare pahlu mein yar dil ki tarah hamesha raha karenge

    kisi ka ehsan hum na lenge kisi ko taklif kuchh na denge

    KHuda ne paida kiya hai hum ko KHuda hi se iltija karenge

    jab aaenge wo pae-ayaadat to hogi dil ko umid-e-sehhat

    zamana mujh ko dua karega masih meri dawa karenge

    nahin KHush-amal agar nahin hun farishte turbat mein KHashmagin hon

    KHuda ki rahmat se mutmain hun ye kya karenge wo kya karenge

    tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamein dikhao

    tumhaare gham mein labon pe dam hai koi ghaDi mein qaza karenge

    rahegi yaad un ki KHush-KHirami mera suKHan hai ye la-kalami

    qadam na parde se wo nikalen meri nazar mein phira karenge

    rulae jati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat

    rahengi kahe ko meri aankhen jo yunhi aansu baha karenge

    mila hai aaram aashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka

    riha bhi honge to aa ke aksar hum is qafas mein raha karenge

    kahin Thikana nahin hamara tumhaari shafqat ka hai sahaara

    gharib hain do hamein dilasa tumhaare haq mein dua karenge

    laraz rahe hain satane wale KHuda ke aage kai hain nale

    gurez un se karega mahshar ye wo qayamat bapa karenge

    agar chhuTe bhi qafas se bulbul karegi barbaad hasrat-e-gul

    rasai hogi na aashiyan tak chaman mein tinke chuna karenge

    qubul hogi dua hamari karenge jis dam hum aah-o-zari

    kabhi na jaegi upar upar hamari hajat rawa karenge

    nigahen un par jo hum ne Dalin unhon ne aankhen 'sharaf' nikalin

    sitam ye Dhaya hai kam-sini mein jawan ho ke wo kya karenge

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 252)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now