Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saliqa hai mujhe taron se lau lagane ka

Prem Warbartani

saliqa hai mujhe taron se lau lagane ka

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    salīqa hai mujhe tāroñ se lau lagāne

    ki maiñ charāġh nahīñ daaġh ke gharāne

    vo dekh barf ke phūloñ meñ jāgtī hai sahar

    yahī hai kyā tirā andāz muskurāne

    ḳhulūs shart hai lūñgā zahr bhī ai dost

    to pahle siikh mujhe Dhañg āzmāne

    liyā jo shāḳh-e-gul-e-tar ko jhuk ke bāñhoñ meñ

    vo ik bahāna thā tujh ko gale lagāne

    chalī jo yaad tumhārī alakh jagātī huī

    bhaTak gayā koī jogī kisī Thikāne

    uḌuuñ to chuum luuñ tujh ko ki ek jugnū huuñ

    ḳhvāb hai kisī parbat ke shāmiyāne

    mirī lagan safīna na Duub jaa.e kahīñ

    tirā vajūd bhañvar hai kisī bahāne

    tire kalām tire jaam tere naam se 'prem'

    chamak rahā hai sitāra tire zamāne

    saliqa hai mujhe taron se lau lagane ka

    ki main charagh nahin dagh ke gharane ka

    wo dekh barf ke phulon mein jagti hai sahar

    yahi hai kya tera andaz muskurane ka

    KHulus shart hai pi lunga zahr bhi ai dost

    to pahle sikh mujhe Dhang aazmane ka

    liya jo shaKH-e-gul-e-tar ko jhuk ke banhon mein

    wo ek bahana tha tujh ko gale lagane ka

    chali jo yaad tumhaari alakh jagati hui

    bhaTak gaya koi jogi kisi Thikane ka

    uDun to chum lun tujh ko ki ek jugnu hun

    tu KHwab hai kisi parbat ke shamiyane ka

    meri lagan ka safina na Dub jae kahin

    tera wajud bhanwar hai kisi bahane ka

    tere kalam tere jam tere nam se 'prem'

    chamak raha hai sitara tere zamane ka

    Source:

    Khushbu Ka Khwab (Pg. 107)

    • Author: Prem Warbartani
      • Edition: 1976
      • Publisher: Miss V. D. Kakkad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now